aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye charāġh jaise lamhe kahīñ rā.egāñ na jaa.eñ
koī ḳhvāb dekh Daalo koī inqilāb laao
ye charagh jaise lamhe kahin raegan na jaen
koi KHwab dekh Dalo koi inqilab lao
fasāne yuuñ to mohabbat ke sach haiñ par kuchh kuchh
baḌhā bhī dete haiñ ham zeb-e-dāstāñ ke liye
fasane yun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye
yahāñ tak aate aate suukh jaatī haiñ ka.ī nadiyāñ
mujhe mā'lūm hai paanī kahāñ Thahrā huā hogā
yahan tak aate aate sukh jati hain kai nadiyan
mujhe ma'lum hai pani kahan Thahra hua hoga
lā.egī gardish meñ tujh ko bhī mirī āvārgī
kū-ba-kū maiñ huuñ to tū bhī dar-ba-dar ho jā.egā
laegi gardish mein tujh ko bhi meri aawargi
ku-ba-ku main hun to tu bhi dar-ba-dar ho jaega
ab mujh se kārobār kī hālat na pūchhiye
ā.īna bechtā huuñ maiñ andhoñ ke shahar meñ
ab mujh se karobar ki haalat na puchhiye
aaina bechta hun main andhon ke shahar mein
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books