aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
hasad kā rang pasandīda rang hai sab kā
yahāñ kisī ko koī ab duā nahīñ detā
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
qubūl kaise karūñ un kā faisla ki ye log
mire ḳhilāf hī merā bayān māñgte haiñ
qubul kaise karun un ka faisla ki ye log
mere KHilaf hi mera bayan mangte hain
dekhnā ġhāfil na rahnā chashm-e-tar se dekhnā
aa.ina jab dekhnā merī nazar se dekhnā
dekhna ghafil na rahna chashm-e-tar se dekhna
aaina jab dekhna meri nazar se dekhna
ham is shahr-e-jafā-pesha se kuchh ummīd kyā rakkheñ
yahāñ is hāv-hū meñ ḳhāmushī ko kaun likkhegā
hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen
yahan is haw-hu mein KHamushi ko kaun likkhega
terī āñkhoñ ke liye itnī sazā kaafī hai
aaj kī raat mujhe ḳhvāb meñ rotā huā dekh
teri aankhon ke liye itni saza kafi hai
aaj ki raat mujhe KHwab mein rota hua dekh
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books