aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
'bānī' zarā sambhal ke mohabbat kā moḌ kaaT
ik hādsa bhī taak meñ hogā yahīñ kahīñ
'bani' zara sambhal ke mohabbat ka moD kaT
ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin
sunegā kaun merī chāk-dāmānī kā afsāna
yahāñ sab apne apne pairahan kī baat karte haiñ
sunega kaun meri chaak-damani ka afsana
yahan sab apne apne pairahan ki baat karte hain
ham se vahshī nahīñ hone ke giraftār kabhī
log dīvāne haiñ zanjīr liye phirte haiñ
hum se wahshi nahin hone ke giraftar kabhi
log diwane hain zanjir liye phirte hain
ḳhud par jo paḌī hai to dhaḌaktā nahīñ dil bhī
ġhairoñ ke liye ka.abe meñ jā jā ke laḌe haiñ
KHud par jo paDi hai to dhaDakta nahin dil bhi
ghairon ke liye kabe mein ja ja ke laDe hain
vo jald ā.eñge yā der meñ ḳhudā jaane
maiñ gul bichhā.ūñ ki kaliyāñ bichhā.ūñ bistar par
wo jald aaenge ya der mein KHuda jaane
main gul bichhaun ki kaliyan bichhaun bistar par
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books