Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Ashfaq's Photo'

Ahmad Ashfaq

1969 | Qatar

Ahmad Ashfaq

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 11

chīḳh uThtā hai daf.atan kirdār

jab koī shaḳhs bad-gumāñ ho jaa.e

chiKH uThta hai dafatan kirdar

jab koi shaKHs bad-guman ho jae

fāsle ye simaT nahīñ sakte

ab parāyoñ meñ kar shumār mujhe

fasle ye simaT nahin sakte

ab parayon mein kar shumar mujhe

biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ

shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ

bikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein

shukr hai mere KHuda ne mujhe shohrat nahin di

merī kam-goī pe jo tanz kiyā karte haiñ

merī kam-goī ke asbāb se nā-vāqif haiñ

meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain

meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain

ye alag baat ki tajdīd-e-ta.alluq na huā

par use bhūlnā chāhūñ to zamāne lag jaa.eñ

ye alag baat ki tajdid-e-talluq na hua

par use bhulna chahun to zamane lag jaen

BOOKS 3

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now