aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farooq Banspari's Photo'

Farooq Banspari

1907 - 1968 | Ballia, India

Farooq Banspari

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 8

mire nāḳhudā na ghabrā ye nazar hai apnī apnī

tire sāmne hai tūfāñ mire sāmne kinārā

mere naKHuda na ghabra ye nazar hai apni apni

tere samne hai tufan mere samne kinara

yaqīñ mujhe bhī hai vo ā.eñge zarūr magar

vafā karegī kahāñ tak ki zindagī to hai

yaqin mujhe bhi hai wo aaenge zarur magar

wafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai

ġham-e-ishq ne kaaTī ġham-e-ishq musībat

isī mauj ne Duboyā isī mauj ne ubhārā

gham-e-ishq hi ne kaTi gham-e-ishq ki musibat

isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhaara

mirī zindagī mahvar yahī soz-o-sāz-e-hastī

kabhī jazb-e-vālhāna kabhī zabt-e-ārifāna

meri zindagi ka mahwar yahi soz-o-saz-e-hasti

kabhi jazb-e-walhana kabhi zabt-e-arifana

allāh ke bandoñ hai duniyā nirālī

kāñTe koī botā hai to ugte haiñ gulistāñ

allah ke bandon ki hai duniya hi nirali

kanTe koi bota hai to ugte hain gulistan

BOOKS 3

 

Audios 7

ba-roz-e-hashr mire saath dil-lagii hii to hai

dil-e-iizaa-talab le teraa kahnaa kar liyaa mai.n ne

jo rahaa yuu.n hii salaamat miraa jazb-e-vaalhaana

Recitation

More Authors From "Ballia"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now