Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nida Fazli's Photo'

Nida Fazli

1938 - 2016 | Mumbai, India

One of the most prominent modern poets with wide popular appeal. Well-known film lyricist, prose writer. Famous for his ghazal 'Kabhi kisi ko mukammal Jahan nahin milta…'.

One of the most prominent modern poets with wide popular appeal. Well-known film lyricist, prose writer. Famous for his ghazal 'Kabhi kisi ko mukammal Jahan nahin milta…'.

Dohe of Nida Fazli

7.3K
Favorite

SORT BY

bachcha bolā dekh kar masjid ālī-shān

allāh tere ek ko itnā baḌā makān

bachcha bola dekh kar masjid aali-shan

allah tere ek ko itna baDa makan

ghar ko khojeñ raat din ghar se nikle paañv

vo rasta kho gayā jis raste thā gaañv

ghar ko khojen raat din ghar se nikle panw

wo rasta hi kho gaya jis raste tha ganw

naqsha le kar haath meñ bachcha hai hairān

kaise dīmak khā ga.ī us hindostān

naqsha le kar hath mein bachcha hai hairan

kaise dimak kha gai us ka hindostan

vo suufī qaul ho panDit gyaan

jitnī biite aap par utnā sach maan

wo sufi ka qaul ho ya panDit ka gyan

jitni bite aap par utna hi sach man

maiñ royā pardes meñ bhīgā maañ pyaar

dukh ne dukh se baat bin chiTThī bin taar

main roya pardes mein bhiga man ka pyar

dukh ne dukh se baat ki bin chiTThi bin tar

sīdhā-sādhā Dākiya jaadū kare mahān

ek thaile meñ bhare aañsū aur muskān

sidha-sadha Dakiya jadu kare mahan

ek hi thaile mein bhare aansu aur muskan

mujh jaisā ik aadmī merā hamnām

ulTā sīdhā vo chale mujhe kare bad-nām

mujh jaisa ek aadmi mera hi hamnam

ulTa sidha wo chale mujhe kare bad-nam

maiñ bhī bhī yātrī chaltī ruktī rail

apne apne gaañv tak sab sab se mel

main bhi tu bhi yatri chalti rukti rail

apne apne ganw tak sab ka sab se mel

nainoñ meñ thā rāsta hirdai meñ thā gaañv

huī na puurī yātrā chhalnī ho ga.e paañv

nainon mein tha rasta hirdai mein tha ganw

hui na puri yatra chhalni ho gae panw

sab puujā ek alag alag har riit

masjid jaa.e maulvī koyal gaa.e giit

sab ki puja ek si alag alag har rit

masjid jae maulwi koyal gae git

chiḌiyā ne uḌ kar kahā merā hai ākāsh

bolā shikrā Daal se yūñhī hotā kaash

chiDiya ne uD kar kaha mera hai aakash

bola shikra Dal se yunhi hota kash

us jaisā to dūsrā milnā thā dushvār

lekin us khoj meñ phail gayā sansār

us jaisa to dusra milna tha dushwar

lekin us ki khoj mein phail gaya sansar

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now