Sher of Hashim Raza Jalalpuri
saarī rusvā.ī zamāne kī gavārā kar ke
zindagī jiite haiñ kuchh log ḳhasāra kar ke
sari ruswai zamane ki gawara kar ke
zindagi jite hain kuchh log KHasara kar ke
ham se ābād hai ye sher-o-suḳhan kī mahfil
ham to mar jā.eñge lafzoñ se kināra kar ke
hum se aabaad hai ye sher-o-suKHan ki mahfil
hum to mar jaenge lafzon se kinara kar ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham be-niyāz baiThe hue un kī bazm meñ
auroñ kī bandagī kā asar dekhte rahe
hum be-niyaz baiThe hue un ki bazm mein
auron ki bandagi ka asar dekhte rahe
apne andar ke añdheroñ ko miTāne ke liye
ik diyā aur jalā.ūñgā maiñ dīvālī par
apne andar ke andheron ko miTane ke liye
ek diya aur jalaunga main diwali par
har ghar meñ divālī thī to har dar pe charāġhāñ
jab raam avadh ke liye ban-bās se nikle
har ghar mein diwali thi to har dar pe charaghan
jab ram awadh ke liye ban-bas se nikle
mire ḳhudā mirā ban-bās ḳhatm kab hogā
'azāb-e-jāñ huā jaatā hai be-gharī kā dukh
mere KHuda mera ban-bas KHatm kab hoga
'azab-e-jaan hua jata hai be-ghari ka dukh