Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Imam Azam's Photo'

Imam Azam

1960 - 2023 | Kolkata, India

Poet, Critic, Journalist and honorary editor of literary magazine "Tmseel-e-Nau"

Poet, Critic, Journalist and honorary editor of literary magazine "Tmseel-e-Nau"

Imam Azam

Ghazal 12

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 10

duniyā ik riit purānī, milnā aur bichhaḌnā hai

ek zamāna biit gayā hai tum kab milne aaoge

duniya ki ek rit purani, milna aur bichhaDna hai

ek zamana bit gaya hai tum kab milne aaoge

har taraf ik jañg māhaul hai 'āzam' yahāñ

aadmī ab ghar ke bhī andar salāmat hai kahāñ

har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan

aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan

jo maze aaj tire ġham ke azāboñ meñ mile

aisī lazzat kahāñ saaqī sharāboñ meñ mile

jo maze aaj tere gham ke azabon mein mile

aisi lazzat kahan saqi ki sharabon mein mile

mausam sūkhā sūkhā thā lekin ye kyā baat huī

keval us ke kamre meñ raat ga.e barsāt huī

mausam sukha sukha sa tha lekin ye kya baat hui

kewal us ke kamre mein hi raat gae barsat hui

un ke ruḳhsat vo lamha mujhe yuuñ lagtā hai

vaqt nārāz huā din bhī Dhalā ho jaise

un ke ruKHsat ka wo lamha mujhe yun lagta hai

waqt naraaz hua din bhi Dhala ho jaise

BOOKS 77

More contributors From "Kolkata"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now