Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahram Sarmadi's Photo'

Shahram Sarmadi

1975 | Delhi, India

Prominent new generation poet

Prominent new generation poet

Sher of Shahram Sarmadi

ba-nām-e-ishq ik ehsān abhī tak hai

vo sāda-lauh hameñ chāhtā abhī tak hai

ba-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai

wo sada-lauh hamein chahta abhi tak hai

mire alāva sabhī log ab ye mānte haiñ

ġhalat nahīñ thī mirī raa.e us ke baare meñ

mere alawa sabhi log ab ye mante hain

ghalat nahin thi meri rae us ke bare mein

faqat zamān o makāñ meñ zarā farq aayā

jo ek mas.ala-e-dard thā abhī tak hai

faqat zaman o makan mein zara sa farq aaya

jo ek masala-e-dard tha abhi tak hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now