Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai

Daood Mohsin

aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai

Daood Mohsin

MORE BYDaood Mohsin

    aaj ke māhaul meñ insāniyat badnām hai

    ye inād-e-bāhamī faqat anjām hai

    haq-shanāsī chalan ham meñ nahīñ baaqī rahā

    sub.h apnī pur-alam hai pur-ḳhatar har shaam hai

    haif barbādī-e-gulshan apne hāthoñ huī

    muft meñ bād-e-ḳhizāñ ke sar pe kyuuñ ilzām hai

    dhundlī dhundlī fazā hai mehr aur iḳhlās

    ab rifāqat āshtī aur dostī gumnām hai

    tapte sahrā se to bach kar aa ga.e the ham magar

    ab qadam kaise baḌhā.eñ pur-ḳhatar har-gām hai

    kyā girānī aur arzānī ham bāteñ kareñ

    paanī mahñgā hai yahāñ aur ḳhuun saste daam hai

    baap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage

    tarbiyat aur ilm ke fuqdān anjām hai

    aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai

    ye inad-e-bahami ka hi faqat anjam hai

    haq-shanasi ka chalan hum mein nahin baqi raha

    subh apni pur-alam hai pur-KHatar har sham hai

    haif barbaadi-e-gulshan apne hi hathon hui

    muft mein baad-e-KHizan ke sar pe kyun ilzam hai

    dhundli dhundli si faza hai mehr aur iKHlas ki

    ab rifaqat aashti aur dosti gumnam hai

    tapte sahra se to bach kar aa gae the hum magar

    ab qadam kaise baDhaen pur-KHatar har-gam hai

    kya girani aur arzani ki hum baaten karen

    pani mahnga hai yahan aur KHun saste dam hai

    bap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage

    tarbiyat aur ilm ke fuqdan ka anjam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now