Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq hai jo tumhaare ruKH-e-surKH-rang ka

Maatam Fazl Mohammad

aashiq hai jo tumhaare ruKH-e-surKH-rang ka

Maatam Fazl Mohammad

MORE BYMaatam Fazl Mohammad

  āshiq hai jo tumhāre ruḳh-e-surḳh-rañg

  rahtā hai us ko nashsha sharāb-e-farañg

  kahte haiñ log dekh tere ruḳh pe ḳhaal ko

  kyā hukm rome meñ hai sipahdār zañg

  ai rashk-e-hūr vus.at-e-jannat meñ bhī mujhe

  tujh bin hai be-gumān yaqīñ gor-e-tañg

  jab se patañg huuñ maiñ tire sham.a-rū yaar

  ma.alūm thā na tujh ko uḌānā patañg

  ḳhauf-e-ḳhudā na hotā to rakhtā maiñ ai sanam

  arsh-e-azīm naam tumhāre palañg

  ai sabz-rañg mast-e-mai-e-ishq-o-husn to

  afyūñ ko pūchhte nahīñ kyā zikr bhañg

  ḳhāl-e-ruḳh-e-nigār haiñ chehre ḳhayāl meñ

  biinī dikhā.ī de hai donālī tufañg

  mātam mirā hai yaar sivā ham ko bazm-e-nūr

  saut-e-bukā se kam nahīñ āvāz chañg

  ātish sher paḌhtā huuñ aksar ba-hasb-e-hāl

  dil said hai vo bahr-e-suḳhan ke nahañg

  vo chashm ghaat meñ dil-e-pur-dāġh ke nahīñ

  aahū ko hai irāda shikār-e-palañg

  nāmūs to fikr hai 'mātam' abas yahāñ

  ye ishq ḳhasm naam dushman hai nañg

  aashiq hai jo tumhaare ruKH-e-surKH-rang ka

  rahta hai us ko nashsha sharab-e-farang ka

  kahte hain log dekh tere ruKH pe KHal ko

  kya hukm rome mein hai sipahdar zang ka

  ai rashk-e-hur wusat-e-jannat mein bhi mujhe

  tujh bin hai be-guman yaqin gor-e-tang ka

  jab se patang hun main tere shama-ru ka yar

  malum tha na tujh ko uDana patang ka

  KHauf-e-KHuda na hota to rakhta main ai sanam

  arsh-e-azim nam tumhaare palang ka

  ai sabz-rang mast-e-mai-e-ishq-o-husn to

  afyun ko puchhte nahin kya zikr bhang ka

  KHal-e-ruKH-e-nigar hain chehre KHayal mein

  bini dikhai de hai donali tufang ka

  matam mera hai yar siwa hum ko bazm-e-nur

  saut-e-buka se kam nahin aawaz chang ka

  aatish ka sher paDhta hun aksar ba-hasb-e-haal

  dil said hai wo bahr-e-suKHan ke nahang ka

  wo chashm ghat mein dil-e-pur-dagh ke nahin

  aahu ko hai irada shikar-e-palang ka

  namus ka to fikr hai 'matam' abas yahan

  ye ishq KHasm nam ka dushman hai nang ka

  Source :
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now