Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe

Asghar Gondvi

aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe

Asghar Gondvi

MORE BYAsghar Gondvi

  āshob-e-husn bhī koī dāstāñ rahe

  miTne ko yuuñ miTeñ ki abad tak nishāñ rahe

  tauf-e-haram meñ sar-e-kū-e-butāñ rahe

  ik barq-e-iztirāb rahe ham jahāñ rahe

  un tajalliyoñ bhī koī nishāñ rahe

  har zarra merī ḳhaak ātish-ba-jāñ rahe

  kyā kyā haiñ dard-e-ishq fitna-tarāziyāñ

  ham iltifāt-e-ḳhās se bhī bad-gumāñ rahe

  mere sarishk-e-ḳhūñ meñ hai rañgīni-e-hayāt

  rab fazā-e-husn abad tak javāñ rahe

  maiñ rāzdār-e-husn huuñ tum rāzdār-e-ishq

  lekin ye imtiyāz bhī kyuuñ darmiyāñ rahe

  aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe

  miTne ko yun miTen ki abad tak nishan rahe

  tauf-e-haram mein ya sar-e-ku-e-butan rahe

  ek barq-e-iztirab rahe hum jahan rahe

  un ki tajalliyon ka bhi koi nishan rahe

  har zarra meri KHak ka aatish-ba-jaan rahe

  kya kya hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyan

  hum iltifat-e-KHas se bhi bad-guman rahe

  mere sarishk-e-KHun mein hai rangini-e-hayat

  ya rab faza-e-husn abad tak jawan rahe

  main raazdar-e-husn hun tum raazdar-e-ishq

  lekin ye imtiyaz bhi kyun darmiyan rahe

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now