Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar aae kya mujhse fani ki surat

Anwar Dehlvi

nazar aae kya mujhse fani ki surat

Anwar Dehlvi

MORE BYAnwar Dehlvi

    nazar aa.e kyā mujh se faanī sūrat

    ki pinhāñ huuñ dard-e-nihānī sūrat

    banā huuñ vo maiñ nā-tavānī sūrat

    ġhazab khichī be-nishānī sūrat

    ḳhamoshī jo hai jqtizā-e-tabī.at

    to un ko milī be-dahānī sūrat

    nazar aa.e kyā jalva-e-husn baaqī

    ki parda hai duniyā-e-fānī sūrat

    tum aur zikr-e-aġhyār par chup rahoge

    kahe detī hai be-dahānī sūrat

    hamāre gale par to chaltī dikhāo

    kahāñ teġh meñ hai ravānī sūrat

    qayām apnā us kūcha meñ pā-bigul hai

    mile ḳhaak meñ ham to paanī sūrat

    gudāz-e-dil-e-tishna maañ ġhazab hai

    vo ḳhanjar na bah jaa.e paanī sūrat

    barābar hai yahāñ būd-o-nābūd apnī

    nishāñ hai mirā be-nishānī sūrat

    araq-e-sharm se ḳhāksārī meñ huuñ maiñ

    huā ḳhaak bhī maiñ to paanī sūrat

    jo pūchho to us chashm dekhnā hai

    vo hai gardish āsmānī sūrat

    Duboyā mujhe aab meñ sharm se vo

    khaḌe haiñ mire sar pe paanī sūrat

    numūd apnī vaaq.e meñ kuchh bhī nahīñ hai

    yahāñ ḳhvāb hai zindagānī sūrat

    vo dil rū-numā.ī meñ lete haiñ pahle

    dikhāte haiñ jab jāñ-sitānī sūrat

    mujhe kushta dekhā to qātil ne pūchhā

    yaqīñ hai yahāñ bad-gumānī sūrat

    paḌe mar ke miTne ko ham Thokaroñ meñ

    magar kaT ga.ī zindagānī sūrat

    zabāñ par hai qāsid apnī rasā.ī

    huā huuñ payām zabānī sūrat

    mujassam mauhūm aane meñ un ke

    nazar aatī hai zindagānī sūrat

    tire va.ade par ziist hai marg apnī

    bahut baḌhī nā-tavānī sūrat

    vo is shakl se merī bālīñ pe aa.e

    ki ik aafat āsmānī sūrat

    nazar ban ke phirtī hai āñkhoñ meñ apnī

    kisī ālam-e-naujavānī sūrat

    na ho rashk to kījiye vahāñ mad.h-e-dushman

    ki hai yaar rāz-dānī sūrat

    mujhe dekho aur us ke va.ade pe jiinā

    ye hai zinda-e-jāvedānī sūrat

    vahāñ bad-gumānī tārīf kyā ho

    yaqīñ ho jahāñ bad-gumānī sūrat

    nazar-soz vo ruḳh vo inkār behad

    magar haiñ vo ik lan-tarānī sūrat

    dikhāte haiñ vo raḳh se yuuñ naaz pinhāñ

    ki alfāz jaise ma.ānī sūrat

    yahāñ kyā samā.ī dam-e-teġh qātil

    ki nazroñ meñ hai saḳht jaanī sūrat

    jo naqsh-e-fanā hoñ to vo dil pe 'anvar'

    khiñchī aur ik bad-gumānī sūrat

    nazar aae kya mujh se fani ki surat

    ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat

    bana hun wo main na-tawani ki surat

    ghazab hi khichi be-nishani ki surat

    KHamoshi jo hai jqtiza-e-tabiat

    to un ko mili be-dahani ki surat

    nazar aae kya jalwa-e-husn baqi

    ki parda hai duniya-e-fani ki surat

    tum aur zikr-e-aghyar par chup rahoge

    kahe deti hai be-dahani ki surat

    hamare gale par to chalti dikhao

    kahan tegh mein hai rawani ki surat

    qayam apna us kucha mein pa-bigul hai

    mile KHak mein hum to pani ki surat

    gudaz-e-dil-e-tishna ka man ghazab hai

    wo KHanjar na bah jae pani ki surat

    barabar hai yahan bud-o-nabud apni

    nishan hai mera be-nishani ki surat

    araq-e-sharm se KHaksari mein hun main

    hua KHak bhi main to pani ki surat

    jo puchho to us chashm ka dekhna hai

    wo hai gardish aasmani ki surat

    Duboya mujhe aab mein sharm se wo

    khaDe hain mere sar pe pani ki surat

    numud apni waqe mein kuchh bhi nahin hai

    yahan KHwab hai zindagani ki surat

    wo dil ru-numai mein lete hain pahle

    dikhate hain jab jaan-sitani ki surat

    mujhe kushta dekha to qatil ne puchha

    yaqin hai yahan bad-gumani ki surat

    paDe mar ke miTne ko hum Thokaron mein

    magar kaT gai zindagani ki surat

    zaban par hai qasid ki apni rasai

    hua hun payam zabani ki surat

    mujassam hi mauhum aane mein un ke

    nazar aati hai zindagani ki surat

    tere wade par zist hai marg apni

    bahut hi baDhi na-tawani ki surat

    wo is shakl se meri baalin pe aae

    ki ek aafat aasmani ki surat

    nazar ban ke phirti hai aankhon mein apni

    kisi aalam-e-naujawani ki surat

    na ho rashk to kijiye wahan madh-e-dushman

    ki hai yar ki raaz-dani ki surat

    mujhe dekho aur us ke wade pe jina

    ye hai zinda-e-jawedani ki surat

    wahan bad-gumani ki tarif kya ho

    yaqin ho jahan bad-gumani ki surat

    nazar-soz wo ruKH wo inkar behad

    magar hain wo ek lan-tarani ki surat

    dikhate hain wo raKH se yun naz pinhan

    ki alfaz jaise maani ki surat

    yahan kya samai dam-e-tegh qatil

    ki nazron mein hai saKHt jaani ki surat

    jo naqsh-e-fana hon to wo dil pe 'anwar'

    khinchi aur ek bad-gumani ki surat

    Source :
    • Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now