Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath

Anwar Dehlvi

aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath

Anwar Dehlvi

MORE BYAnwar Dehlvi

    āñkheñ dikhā.īñ ġhair ko merī ḳhatā ke saath

    matlab adā vo karte haiñ aur kis adā ke saath

    shoḳhī nigah ke saath taġhāful jafā ke saath

    ushshāq par hujūm-e-balā hai balā ke saath

    āḳhir huā na zabt shab-e-vasl mudda.ī

    naala nikal gayā mirī lab se duā ke saath

    tere sitam se mujh ko milā mansab-e-kalīm

    ik vaj.h-e-guftagū nikal aa.ī ḳhudā ke saath

    terā hijāb uThte aaya vo nā-gahāñ

    dushman ke paaoñ khul ga.e band-e-qabā ke saath

    meñ kyā ki dushmanoñ bhī qismat ulaT ga.ī

    tirchhī adā.eñ aur terī bāñkī adā ke saath

    rāh-e-talab meñ shauq manzūr hai numūd

    miTte qadam qadam pe chale rahnumā ke saath

    yārab ġhalat ho fahm-e-kaj-andesh gumāñ

    kuchh kah rahā hai in se adū iltijā ke saath

    dete nahīñ kisī ko pata apne haal

    begāna ban ke chalte haiñ har āshnā ke saath

    mai be-talab milī to huī yaar talab

    bandoñ ke naaz bhī haiñ nirāle ḳhudā ke saath

    josh-e-qalaq meñ dekhiye kyā māñgtā huuñ maiñ

    yāroñ ke dam nikalte haiñ merī duā ke saath

    ghar se mujhe nikālte rahiye par is tarah

    gah mudda.ī ke saath gahe mudda.ā ke saath

    kyuuñ shauq meñ girā.iye saath apne shān-e-ishq

    aġhmāz bhī zarūr hai kuchh iltijā ke saath

    kahtā huuñ ye nasīb na dushman ko ho firāq

    aa maiñ vo kahte jaate haiñ merī duā ke saath

    lailā naam zinda hai ab tak jahāñ meñ

    tum bhī nibāh do kisī ahl-e-vafā ke saath

    phirte us aañkh ke vābasta-tar havā

    maiñ dil ke saath dil nigah-e-fitna-zā ke saath

    ham ālam-e-ḳhayāl meñ kuchh bhī na ḳhush hue

    hai rashk-e-ġhair yād-e-lab-e-jāñ-fazā ke saath

    ab to baḌā ḳhayāl terī ranjishoñ hai

    mahshar meñ dekh leñge ḳhudā ḳhudā ke saath

    kahtā hai Dar ke haath vafā se uThā liyā

    dushman baat ban ga.ī merī duā ke saath

    aatā hai bū-e-dost meñ kāfir basā huā

    qāsid bhī ik raqīb hai apnā sabā ke saath

    kyā DhūñDhte ho dahr meñ 'anvar' jamāl-e-dost

    chande phiro chalo kisī mard-e-ḳhudā ke saath

    aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath

    matlab ada wo karte hain aur kis ada ke sath

    shoKHi nigah ke sath taghaful jafa ke sath

    ushshaq par hujum-e-bala hai bala ke sath

    aaKHir hua na zabt shab-e-wasl muddai

    nala nikal gaya meri lab se dua ke sath

    tere sitam se mujh ko mila mansab-e-kalim

    ek wajh-e-guftagu nikal aai KHuda ke sath

    tera hijab uThte hi aaya wo na-gahan

    dushman ke paon khul gae band-e-qaba ke sath

    mein kya ki dushmanon ki bhi qismat ulaT gai

    tirchhi adaen aur teri banki ada ke sath

    rah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud

    miTte qadam qadam pe chale rahnuma ke sath

    yarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh ka guman

    kuchh kah raha hai in se adu iltija ke sath

    dete nahin kisi ko pata apne haal ka

    begana ban ke chalte hain har aashna ke sath

    mai be-talab mili to hui yar ki talab

    bandon ke naz bhi hain nirale KHuda ke sath

    josh-e-qalaq mein dekhiye kya mangta hun main

    yaron ke dam nikalte hain meri dua ke sath

    ghar se mujhe nikalte rahiye par is tarah

    gah muddai ke sath gahe muddaa ke sath

    kyun shauq mein giraiye sath apne shan-e-ishq

    aghmaz bhi zarur hai kuchh iltija ke sath

    kahta hun ye nasib na dushman ko ho firaq

    aa main wo kahte jate hain meri dua ke sath

    laila ka nam zinda hai ab tak jahan mein

    tum bhi nibah do kisi ahl-e-wafa ke sath

    phirte hi us ki aankh ke wabasta-tar hawa

    main dil ke sath dil nigah-e-fitna-za ke sath

    hum aalam-e-KHayal mein kuchh bhi na KHush hue

    hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-faza ke sath

    ab to baDa KHayal teri ranjishon ka hai

    mahshar mein dekh lenge KHuda ki KHuda ke sath

    kahta hai Dar ke hath wafa se uTha liya

    dushman ki baat ban gai meri dua ke sath

    aata hai bu-e-dost mein kafir basa hua

    qasid bhi ek raqib hai apna saba ke sath

    kya DhunDhte ho dahr mein 'anwar' jamal-e-dost

    chande phiro chalo kisi mard-e-KHuda ke sath

    Source:

    Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz (Pg. e-97 p-96)

    • Author: Anwar Dehlvi
      • Edition: 1899
      • Publisher: Mumtaz Ali
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now