Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barish hogi to barish mein donon mil kar bhigenge

Ghayas Mateen

barish hogi to barish mein donon mil kar bhigenge

Ghayas Mateen

MORE BYGhayas Mateen

    bārish hogī to bārish meñ donoñ mil kar bhīgeñge

    ret pe ek musāfir ghar aur samundar bhīgeñge

    achchhā maiñ haarā tum jiite aage ik baat suno

    ab ke baras jab bārish hogī soch samajh kar bhīgeñge

    dhuup ik TukḌā kyuuñ mere sar par saaya kartā hai

    kyā mujh ko manzar se haTā kar saare manzar bhīgeñge

    kāġhaz ik kashtī le kar bārish meñ kyuuñ nikle ho

    bhūle-bisre bachpan yādoñ ke paikar bhīgeñge

    achchhe logoñ bastī meñ tum kyuuñ rahne aa.e ho

    yaañ hoñToñ par phuul khileñge ḳhuun meñ ḳhanjar bhīgeñge

    us din jab bārish hogī kaun bachegā ham-safaro

    phuul parind charāġh jazīre kañkar patthar bhīgeñge

    ik fānūs hai jis meñ apnī ruuh 'matīn' sulagtī hai

    bhīgnā jab Thahrā to usī fānūs ke andar bhīgeñge

    barish hogi to barish mein donon mil kar bhigenge

    ret pe ek musafir ka ghar aur samundar bhigenge

    achchha main haara tum jite aage ki ek baat suno

    ab ke baras jab barish hogi soch samajh kar bhigenge

    dhup ka ek TukDa kyun mere sar par saya karta hai

    kya mujh ko manzar se haTa kar sare manzar bhigenge

    kaghaz ki ek kashti le kar barish mein kyun nikle ho

    bhule-bisre bachpan ki yaadon ke paikar bhigenge

    achchhe logon ki basti mein tum kyun rahne aae ho

    yan honTon par phul khilenge KHun mein KHanjar bhigenge

    us din ki jab barish hogi kaun bachega ham-safaro

    phul parind charagh jazire kankar patthar bhigenge

    ek fanus hai jis mein apni ruh 'matin' sulagti hai

    bhigna jab Thahra to usi fanus ke andar bhigenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now