Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha

Gopaldas Neeraj

badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha

Gopaldas Neeraj

MORE BYGopaldas Neeraj

    badan pe jis ke sharāfat pairahan dekhā

    vo aadmī bhī yahāñ ham ne bad-chalan dekhā

    ḳharīdne ko jise kam thī daulat-e-duniyā

    kisī kabīr muTThī meñ vo ratan dekhā

    mujhe milā hai vahāñ apnā badan zaḳhmī

    kahīñ jo tiir se ghāyal koī hiran dekhā

    baḌā na chhoTā koī farq bas nazar hai

    sabhī pe chalte samay ek kafan dekhā

    zabāñ hai aur bayāñ aur us matlab aur

    ajiib aaj duniyā vyākaran dekhā

    luTere Daaku bhī apne pe naaz karne lage

    unhoñne aaj jo santoñ ācharan dekhā

    jo sādgī hai kuhan meñ hamāre ai 'nīraj'

    kisī pe aur bhī kyā aisā bāñkpan dekhā

    badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha

    wo aadmi bhi yahan hum ne bad-chalan dekha

    KHaridne ko jise kam thi daulat-e-duniya

    kisi kabir ki muTThi mein wo ratan dekha

    mujhe mila hai wahan apna hi badan zaKHmi

    kahin jo tir se ghayal koi hiran dekha

    baDa na chhoTa koi farq bas nazar ka hai

    sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha

    zaban hai aur bayan aur us ka matlab aur

    ajib aaj ki duniya ka wyakaran dekha

    luTere Daku bhi apne pe naz karne lage

    unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha

    jo sadgi hai kuhan mein hamare ai 'niraj'

    kisi pe aur bhi kya aisa bankpan dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now