aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

baDha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

MORE BYSyed Mubeen Alvi Khairabadi

    baḌhā tanhā.ī meñ ehsās-e-ġham āhista āhista

    hameñ yaad aa.e sab ahl-e-karam āhista āhista

    dil-e-muztar betābī aalam kaisā aalam hai

    khiñchā jaatā hai dil sū-e-sanam āhista āhista

    chalā huuñ manzil-e-jānāñ maiñ kuchh aise ta.assur se

    nazar sharminda sharminda qadam āhista āhista

    nigāh-e-lutf kis ho ga.ī mere muqaddar par

    ye kis ho gayā husn-e-karam āhista āhista

    mohabbat karne ham ko sila achchhā milā ai dil

    simaT aa.e mire dāman meñ ġham āhista āhista

    haqīqat meñ agar pūchho bahārān-e-gulistāñ

    chaman vāloñ ne toḌā hai bharam āhista āhista

    kahāñ tak zabt karte bazm kotāh-bīnī ko

    'mubīn' uThnā paḌā bā-chashm-e-nam āhista āhista

    baDha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista

    hamein yaad aae sab ahl-e-karam aahista aahista

    dil-e-muztar ki betabi ka aalam kaisa aalam hai

    khincha jata hai dil su-e-sanam aahista aahista

    chala hun manzil-e-jaanan main kuchh aise tassur se

    nazar sharminda sharminda qadam aahista aahista

    nigah-e-lutf kis ki ho gai mere muqaddar par

    ye kis ka ho gaya husn-e-karam aahista aahista

    mohabbat karne ka hum ko sila achchha mila ai dil

    simaT aae mere daman mein gham aahista aahista

    haqiqat mein agar puchho bahaaran-e-gulistan ka

    chaman walon ne toDa hai bharam aahista aahista

    kahan tak zabt karte bazm ki kotah-bini ko

    'mubin' uThna paDa ba-chashm-e-nam aahista aahista

    Source:

    Pirahn-e-harf (Pg. 28)

    • Author: Mubeen Alvi Khairabadi
      • Edition: 1999
      • Publisher: Mubeen Alvi Khairabadi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now