Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai

Anwar Husain Anwar

bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai

Anwar Husain Anwar

MORE BYAnwar Husain Anwar

    bistar shikan aas shahnā.ī Dase hai

    ik dard ubhar aa.e hai tanhā.ī Dase hai

    jab dekhūñ maiñ ā.īne meñ murjhā.ī sūrat

    darpan se ubhar kar tirī añgḌā.ī Dase hai

    muskān vo matvālī adā surḳhī laboñ

    nainoñ tirī jhiil gahrā.ī Dase hai

    gulshan hai sarāpā ai mirī jān-e-ġhazal

    nāgin magar zulf jo lahrā.ī Dase hai

    maiñ tujh se akele meñ bhī mil saktā huuñ lekin

    ilzām Darā.e mujhe rusvā.ī Dase hai

    le aatī haiñ ḳhushbū churā kar tirī yādeñ

    tanhā.ī ke aalam meñ ye purvā.ī Dase hai

    dālān to sāgaun ke pattoñ se aTe haiñ

    aur qabr sunsān ye añgnā.ī Dase hai

    pāgal hai dīvāna hai vo mastāna sitamgar

    phūloñ dahan bhañvrā harjā.ī Dase hai

    is dard-e-mohabbat meñ nahīñ tujh se shikāyat

    mujh ko to mire pyaar gahrā.ī Dase hai

    banjar hai zamīñ desh dil kaise sukūñ paa.e

    bāzār baḌhtī huī mahñgā.ī Dase hai

    hai nazm 'anvar' rubā.ī bhī ġhazal bhī

    ai jān-e-ġhazal terī shanāsā.ī Dase hai

    bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai

    ek dard ubhar aae hai tanhai Dase hai

    jab dekhun main aaine mein murjhai si surat

    darpan se ubhar kar teri angDai Dase hai

    muskan wo matwali ada surKHi labon ki

    nainon ki teri jhil si gahrai Dase hai

    gulshan hai sarapa ai meri jaan-e-ghazal tu

    nagin si magar zulf jo lahrai Dase hai

    main tujh se akele mein bhi mil sakta hun lekin

    ilzam Darae mujhe ruswai Dase hai

    le aati hain KHushbu si chura kar teri yaaden

    tanhai ke aalam mein ye purwai Dase hai

    dalan to sagaun ke patton se aTe hain

    aur qabr si sunsan ye angnai Dase hai

    pagal hai diwana hai wo mastana sitamgar

    phulon ka dahan bhanwra sa harjai Dase hai

    is dard-e-mohabbat mein nahin tujh se shikayat

    mujh ko to mere pyar ki gahrai Dase hai

    banjar hai zamin desh ki dil kaise sukun pae

    bazar ki baDhti hui mahngai Dase hai

    hai nazm tu 'anwar' ki rubai bhi ghazal bhi

    ai jaan-e-ghazal teri shanasai Dase hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now