Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein

Mushaf Iqbal Tausifi

chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein

Mushaf Iqbal Tausifi

MORE BYMushaf Iqbal Tausifi

    chāñd ne apnā diip jalāyā shaam bujhī vīrāne meñ

    us bastī duur hai shāyad der hai us ke aane meñ

    kyā patthar bhārī sil hai ek ik lamha maazī

    dekho dab kar rah jāoge itnā bojh uThāne meñ

    us ko nahīñ dekhā hai jis ne mujh ko bhalā kyā samjhegā

    in āñkhoñ se guzarnā hogā mere dil tak aane meñ

    apnī zaat se kuchh nisbat thī vo bhī is ḳhātir se

    merā zikr nahīñ miltā hai ab mere afsāne meñ

    ek dukh thā merā apnā vo bhī is ko sauñp diyā

    āḳhir dil baat zabāñ tak aa ga.ī anjāne meñ

    ab to tum bhī jaan ga.ī ho tum ko kyā sukh miltā thā

    mere ghar ke kaam meñ merī maañ haath baTāne meñ

    merī rātoñ meñ mahke haiñ jo sapnoñ Daalī se

    rañg hai in phūloñ shāmil aaj tire sharmāne meñ

    jis se baat bhī karnī mushkil vo bhī is mahfil meñ hai

    'mus.haf' kaisā lutf rahegā us ko sher sunāne meñ

    chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein

    us ki basti dur hai shayad der hai us ke aane mein

    kya patthar ki bhaari sil hai ek ek lamha mazi ka

    dekho dab kar rah jaoge itna bojh uThane mein

    us ko nahin dekha hai jis ne mujh ko bhala kya samjhega

    in aankhon se guzarna hoga mere dil tak aane mein

    apni zat se kuchh nisbat thi wo bhi is ki KHatir se

    mera zikr nahin milta hai ab mere afsane mein

    ek hi dukh tha mera apna wo bhi is ko saunp diya

    aaKHir dil ki baat zaban tak aa hi gai anjaane mein

    ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kya sukh milta tha

    mere ghar ke kaam mein meri man ka hath baTane mein

    meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki Dali se

    rang hai in phulon ka shamil aaj tere sharmane mein

    jis se baat bhi karni mushkil wo bhi is mahfil mein hai

    'mushaf' kaisa lutf rahega us ko sher sunane mein

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 1013)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now