Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein

Bekhud Mohani

dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    dahr-o-tajalliyāt-e-rab ek haiñ chashm-e-rāz meñ

    jakḌe hue haiñ sab ke sab silsila-e-niyāz meñ

    kuchh vo nazar taur hai nargis-e-ishva-sāz meñ

    sab jahāñ aur hai parda-sarā-e-nāz meñ

    farq hai ijz-o-nāz meñ dīda-e-imtiyāz meñ

    farq-e-haram-niyāz meñ pā-e-haram-navāz meñ

    mehr-e-abad se kā.enāt baqqa-e-nūr tā-jihāt

    raat hai aur añdherī raat chasm-e-sitāra-sāz meñ

    haa.e re muntahā-e-shauq dast-e-hayā gale tauq

    sar ko hai āstāñ se zauq us harīm-e-nāz meñ

    zarroñ ḳhutba-ḳhvāniyāñ balki ḳhudā-bayāniyāñ

    uf tirī lan-tarāniyāñ ḳhāk-e-hama-niyāz meñ

    shakl har ik ujaal baat vahī nikāl

    shauq ne ḳhaak Daal dīda-e-imtiyāz meñ

    aur kisī zikr kyā jab na mujhī pe khul sakā

    dard se mar rahā huuñ hasrat-e-chāra-sāz meñ

    jo bhī hai ḳhizr-e-rāh hai phir bhī ġhazab tabāh hai

    ek āh-āh hai qāfila-e-majāz meñ

    sub.h-e-azal se hashr tak mahv-e-rukūa thā falak

    sajde rah ga.ī falak phir bhī dil-e-niyāz meñ

    shauq se kyā bichhaḌ ga.e khel bane bigaḌ ga.e

    baal baal paḌ ga.e ā.ina-e-niyāz meñ

    sahn-e-zamīñ makān-e-nāz charḳh hai āsmān-e-nāz

    dahr hai ik jahān-e-nāz husn ke daur-e-nāz meñ

    chhīñTe sahāb ne diye rāh-e-talab meñ soz se

    sho.ale jahāñ bhaḌak uThe barq-e-zabāna-tāz meñ

    dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein

    jakDe hue hain sab ke sab silsila-e-niyaz mein

    kuchh wo nazar ka taur hai nargis-e-ishwa-saz mein

    sab ka jahan hi aur hai parda-sara-e-naz mein

    farq hai ijz-o-naz mein dida-e-imtiyaz mein

    farq-e-haram-niyaz mein pa-e-haram-nawaz mein

    mehr-e-abad se kaenat baqqa-e-nur ta-jihat

    raat hai aur andheri raat chasm-e-sitara-saz mein

    hae re muntaha-e-shauq dast-e-haya gale ka tauq

    sar ko hai aastan se zauq us ki harim-e-naz mein

    zarron ki KHutba-KHwaniyan balki KHuda-bayaniyan

    uf teri lan-taraniyan KHak-e-hama-niyaz mein

    shakl har ek ujal di baat wahi nikal di

    shauq ne KHak Dal di dida-e-imtiyaz mein

    aur kisi ka zikr kya jab na mujhi pe khul saka

    dard se mar raha hun ya hasrat-e-chaara-saz mein

    jo bhi hai KHizr-e-rah hai phir bhi ghazab tabah hai

    ek si aah-ah hai qafila-e-majaz mein

    subh-e-azal se hashr tak mahw-e-rukua tha falak

    sajde ki rah gai falak phir bhi dil-e-niyaz mein

    shauq se kya bichhaD gae khel bane bigaD gae

    baal hi baal paD gae aaina-e-niyaz mein

    sahn-e-zamin makan-e-naz charKH hai aasman-e-naz

    dahr hai ek jahan-e-naz husn ke daur-e-naz mein

    chhinTe sahab ne diye rah-e-talab mein soz se

    shoale jahan bhaDak uThe barq-e-zabana-taz mein

    Source:

    Kulliyat-e-Bekhud (Pg. 68)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Syed Zia-ul-Hasnain
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now