Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam-ba-dam gardish-e-dauran ka ghumaya hua shaKHs

Shahzad Nayyar

dam-ba-dam gardish-e-dauran ka ghumaya hua shaKHs

Shahzad Nayyar

MORE BYShahzad Nayyar

    dam-ba-dam gardish-e-daurāñ ghumāyā huā shaḳhs

    ek din hashr uThātā hai girāyā huā shaḳhs

    maiñ to ḳhud par bhī kifāyat se use ḳharch karūñ

    vo hai mahñgā.ī meñ mushkil se kamāyā huā shaḳhs

    yaad aatā hai to aatā chalā jaatā hai

    kār-e-bekār zamāne meñ bhulāyā huā shaḳhs

    dasht-e-be-āb meñ āvāz na alfāz kahīñ

    har taraf dhuup thī phir peḌ saayā huā shaḳhs

    jab zarūrat thī usī vaqt mujhe kyuuñ na milā

    bas isī zid meñ gañvā baiThā huuñ paayā huā shaḳhs

    kyā ajab ḳhvān-e-muqaddar uThā kar pheñke

    DaañT kar ḳhvān-e-muqaddar se uThāyā huā shaḳhs

    apnī shorīda-mizājī karūñ kyā 'nayyar'

    ruuTh kar bhī chukā maan ke aayā huā shaḳhs

    dam-ba-dam gardish-e-dauran ka ghumaya hua shaKHs

    ek din hashr uThata hai giraya hua shaKHs

    main to KHud par bhi kifayat se use KHarch karun

    wo hai mahngai mein mushkil se kamaya hua shaKHs

    yaad aata hai to aata hi chala jata hai

    kar-e-bekar zamane mein bhulaya hua shaKHs

    dasht-e-be-ab mein aawaz na alfaz kahin

    har taraf dhup thi phir peD ka saya hua shaKHs

    jab zarurat thi usi waqt mujhe kyun na mila

    bas isi zid mein ganwa baiTha hun paya hua shaKHs

    kya ajab KHwan-e-muqaddar hi uTha kar phenke

    DanT kar KHwan-e-muqaddar se uThaya hua shaKHs

    apni shorida-mizaji ka karun kya 'nayyar'

    ruTh kar ja bhi chuka man ke aaya hua shaKHs

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shahzad Nayyar

    Shahzad Nayyar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now