ghuTan baDhti gai mujh mein
ghuTan baḌhtī ga.ī mujh meñ
phir ik khiḌkī khulī mujh meñ
huā ābād āḳhir-kār
udāsī bas ga.ī mujh meñ
mirī miTTī hī aisī hai
ki rahtī hai namī mujh meñ
vo ik shaffāf din thā jab
binā-e-shab paḌī mujh meñ
lahū kā raqs suntā huuñ
hai itnī ḳhāmushī mujh meñ
ye ab jo raakh bikhrī hai
kabhī kyā aag thī mujh meñ
vo jis meñ kuchh nahīñ ugtā
vo rut aa hī ga.ī mujh meñ
ghuTan baDhti gai mujh mein
phir ek khiDki khuli mujh mein
hua aabaad aaKHir-kar
udasi bas gai mujh mein
meri miTTi hi aisi hai
ki rahti hai nami mujh mein
wo ek shaffaf din tha jab
bina-e-shab paDi mujh mein
lahu ka raqs sunta hun
hai itni KHamushi mujh mein
ye ab jo rakh bikhri hai
kabhi kya aag thi mujh mein
wo jis mein kuchh nahin ugta
wo rut aa hi gai mujh mein
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 87)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.