aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka

Athar Nadir

dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka

Athar Nadir

MORE BYAthar Nadir

    dekhā jo ek shaḳhs ajab ān-bān

    ik silsila rahtā hai har-vaqt dhyān

    be-soche-samjhe ghar se jo yūñhī nikal paḌe

    ab DhūñDte haiñ saaya kisī sā.ebān

    koī nahīñ hai aisā ki apnā kaheñ jise

    kaisā tilism TuuTā hai apne gumān

    bastī meñ haiñ pa aise ki sab se judā haiñ ham

    achchhā thā ḳhabt ham ko bhī ūñche makān

    mauj-e-nafas ke saath rahe rishta-e-ummīd

    dhaḌkā varna rahtā hai har-vaqt jaan

    zālim ḳhudā se Dar kahīñ bijlī na gir paḌe

    mushkil bahut hai girnā agar āsmān

    jis ghar meñ hañste khelte guzrī hai ek umr

    rishta bhī ab to yaad nahīñ us makān

    nākāmiyoñ ko ham ne muqaddar banā liyā

    ab Dar nahīñ rahā hai kisī imtihān

    'nādir' vo kab balāoñ ko ḳhātir meñ laate haiñ

    rakhte haiñ jo bhī hausla ūñchī uḌaan

    dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka

    ek silsila sa rahta hai har-waqt dhyan ka

    be-soche-samjhe ghar se jo yunhi nikal paDe

    ab DhunDte hain saya kisi saeban ka

    koi nahin hai aisa ki apna kahen jise

    kaisa tilism TuTa hai apne guman ka

    basti mein hain pa aise ki sab se juda hain hum

    achchha tha KHabt hum ko bhi unche makan ka

    mauj-e-nafas ke sath rahe rishta-e-ummid

    dhaDka sa warna rahta hai har-waqt jaan ka

    zalim KHuda se Dar kahin bijli na gir paDe

    mushkil bahut hai girna agar aasman ka

    jis ghar mein hanste khelte guzri hai ek umr

    rishta bhi ab to yaad nahin us makan ka

    nakaamiyon ko hum ne muqaddar bana liya

    ab Dar nahin raha hai kisi imtihan ka

    'nadir' wo kab balaon ko KHatir mein late hain

    rakhte hain jo bhi hausla unchi uDan ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now