Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    dilbar ye vo hai jis ne dil ko daġhā diyā hai

    ai chashm dekh tujh ko maiñ ne sujhā diyā hai

    teġh-e-sitam se merā jo ḳhūñ-bahā diyā hai

    qātil ne mere dil ye ḳhūñ-bahā diyā hai

    naqsh qadam galī terī banā diyā hai

    kyuuñ kar uThūñ ki dil ne mujh ko biThā diyā hai

    ai chashm gar ye hai rone ko tere zahmat

    ro ro ke abr ko bhī ne rulā diyā hai

    sar-rishta-e-vafā se kyā sham'-rū haiñ vāqif

    ham ne patang un se milnā uḌā diyā hai

    dil de ke jaan muft ik rog ḳharīdā

    daulat se terī maiñ ne ye kuchh liyā diyā hai

    jaate nazar jidhar ik nuur jalva-gar hai

    mukhḌe se aaj parda kisī ne uThā diyā hai

    paan khā ke hañsnā ik sahl hai samjhā

    ye barq vo hai jis ne 'ālam jalā diyā hai

    kyuuñ ham se ho bigaḌte ham ne to shaiḳh sāhab

    holī se peshtar tum ko banā diyā hai

    kyuuñ kar na mere dil shīsha ho TukḌe TukḌe

    nazroñ se is ko zālim ne girā diyā hai

    paañv se kyā jagāyā ne mujh ko goyā

    Thokar se baḳht-e-ḳhufta merā jagā diyā hai

    kyā jānūñ 'ishq kyā hai lekin kisī ne 'ehsāñ'

    ik aag sho'la dil ko lagā diyā hai

    dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai

    ai chashm dekh tujh ko main ne sujha diya hai

    tegh-e-sitam se mera jo KHun-baha diya hai

    qatil ne mere dil ka ye KHun-baha diya hai

    naqsh qadam gali ka teri bana diya hai

    kyun kar uThun ki dil ne mujh ko biTha diya hai

    ai chashm gar ye za hai rone ko tere zahmat

    ro ro ke abr ko bhi tu ne rula diya hai

    sar-rishta-e-wafa se kya sham'-ru hain waqif

    hum ne patang un se milna uDa diya hai

    dil de ke jaan ka muft ek rog hi KHarida

    daulat se teri main ne ye kuchh liya diya hai

    jate nazar jidhar hi ek nur jalwa-gar hai

    mukhDe se aaj parda kisi ne uTha diya hai

    tu pan kha ke hansna ek sahl sa hai samjha

    ye barq wo hai jis ne 'alam jala diya hai

    kyun hum se ho bigaDte hum ne to shaiKH sahab

    holi se peshtar hi tum ko bana diya hai

    kyun kar na mere dil ka shisha ho TukDe TukDe

    nazron se is ko zalim tu ne gira diya hai

    panw se kya jagaya tu ne hi mujh ko goya

    Thokar se baKHt-e-KHufta mera jaga diya hai

    kya jaanun 'ishq kya hai lekin kisi ne 'ehsan'

    ek aag ka sa sho'la dil ko laga diya hai

    Source :
    • Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now