aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

Azhar Faragh

dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

Azhar Faragh

MORE BYAzhar Faragh

    dosh dete rahe be-kār tuġhyānī ko

    ham ne samjhā nahīñ dariyā pareshānī ko

    ye nahīñ dekhte kitnī hai riyāzat kis

    log āsān samajh lete haiñ āsānī ko

    be-gharī mujhe ehsās dilāne vaale

    ne bartā hai mirī be-sar-o-sāmānī ko

    sharmsārī hai ki rukne meñ nahīñ aatī hai

    ḳhushk kartā rahe kab tak koī peshānī ko

    jaise rañgoñ baḳhīlī bhī hunar ho 'az.har'

    ġhaur se dekhiye tasvīr uryānī ko

    dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

    hum ne samjha nahin dariya ki pareshani ko

    ye nahin dekhte kitni hai riyazat kis ki

    log aasan samajh lete hain aasani ko

    be-ghari ka mujhe ehsas dilane wale

    tu ne barta hai meri be-sar-o-samani ko

    sharmsari hai ki rukne mein nahin aati hai

    KHushk karta rahe kab tak koi peshani ko

    jaise rangon ki baKHili bhi hunar ho 'azhar'

    ghaur se dekhiye taswir ki uryani ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now