Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duaon ka apni asar har taraf

Khurshid Sahar

duaon ka apni asar har taraf

Khurshid Sahar

MORE BYKhurshid Sahar

    duāoñ apnī asar har taraf

    munavvar haiñ shaam o sahar har taraf

    ḳhushī us ke hamrāh ruḳhsat huī

    udāsī girī TuuT kar har taraf

    jidhar meñ aayā udhar chal paḌe

    musāfir hotā hai ghar har taraf

    yūñhī apnī ḳhushbū uḌā chār-sū

    havā tarah bikhar har taraf

    thake hausle be-sadā rāste

    tabāhī lambā safar har taraf

    añdhere 'sahar' tā-nashīñ ho ga.e

    ki raushan hai merā hunar har taraf

    duaon ka apni asar har taraf

    munawwar hain sham o sahar har taraf

    KHushi us ke hamrah ruKHsat hui

    udasi giri TuT kar har taraf

    jidhar ji mein aaya udhar chal paDe

    musafir ka hota hai ghar har taraf

    yunhi apni KHushbu uDa chaar-su

    hawa ki tarah tu bikhar har taraf

    thake hausle be-sada raste

    tabahi ka lamba safar har taraf

    andhere 'sahar' ta-nashin ho gae

    ki raushan hai mera hunar har taraf

    RECITATIONS

    Khurshid Sahar

    Khurshid Sahar,

    Khurshid Sahar

    duaon ka apni asar har taraf Khurshid Sahar

    Source:

    Rifat mere khawab ki (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now