Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

Ishq Aurangabadi

gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    ġham mirā dushman-e-jānī hai kaho na kaho

    mere aañsū zabānī hai kaho na kaho

    raat parvāne ke mātam meñ gudāz-e-dil se

    sham.a ashk-fishānī hai kaho na kaho

    ġhuncha-e-gul ke ta.iiñ dekhte ham ne kahā

    dil-e-pur-ḳhūñ nishānī hai kaho na kaho

    māthā ghisne se mire mahr-jabīñ ke dar par

    sub.h ujlī peshānī hai kaho na kaho

    mayyat-e-ishq gar dekho ruḳh-e-nūrānī

    maġhfirat ye nishānī hai kaho na kaho

    gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

    mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho

    raat parwane ke matam mein gudaz-e-dil se

    shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho

    ghuncha-e-gul ke tain dekhte hi hum ne kaha

    dil-e-pur-KHun ki nishani hai kaho ya na kaho

    matha ghisne se mere mahr-jabin ke dar par

    subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho

    mayyat-e-ishq ka gar dekho ruKH-e-nurani

    maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 72)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now