Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti

Sardar Asif

ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti

Sardar Asif

MORE BYSardar Asif

    ġhazal kahne meñ yuuñ to koī dushvārī nahīñ hotī

    magar ik mas.ala ye hai ki meyārī nahīñ hotī

    agar chehra badalne hunar tum ko nahīñ aatā

    to phir pahchān parchī yahāñ jaarī nahīñ hotī

    samundar se to majbūrī hai us roz milnā hai

    bahut chālāk hai lekin nadī khārī nahīñ hotī

    batā.ūñ kyā mujhe mohtāt rahnā aa gayā kaise

    na jaane mujh pe kyuuñ vahshat koī taarī nahīñ hotī

    sipāhī se sipah-sālār banñā kitnā āsāñ hai

    magar majbūr huuñ maiñ mujh se ġhaddārī nahīñ hotī

    havā shart ham kyuuñ mānte kyuuñ is tarah dabte

    hameñ gar saañs lene ye bīmārī nahīñ hotī

    ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti

    magar ek masala ye hai ki meyari nahin hoti

    agar chehra badalne ka hunar tum ko nahin aata

    to phir pahchan ki parchi yahan jari nahin hoti

    samundar se to majburi hai us ki roz milna hai

    bahut chaalak hai lekin nadi khaari nahin hoti

    bataun kya mujhe mohtat rahna aa gaya kaise

    na jaane mujh pe kyun wahshat koi tari nahin hoti

    sipahi se sipah-salar banna kitna aasan hai

    magar majbur hun main mujh se ghaddari nahin hoti

    hawa ki shart hum kyun mante kyun is tarah dabte

    hamein gar sans lene ki ye bimari nahin hoti

    Source:

    Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 96)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now