Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

Mohsin Jalganvi

ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

Mohsin Jalganvi

MORE BYMohsin Jalganvi

    ghar se nikal bhī aa.eñ magar yaar bhī to ho

    ko lage kahīñ koī kirdār bhī to ho

    ye kyā ki barg-e-zard TuuTe bikhar ga.e

    āñdhī chale havāoñ yalġhār bhī to ho

    sar ko abas hai sañg-e-tavātur sāmnā

    sahn-e-makāñ meñ shāḳh-e-samar-bār bhī to ho

    anmol ham guhar haiñ magar tere vāste

    bik jaa.eñ koī aisā ḳharīdār bhī to ho

    kāġhaz kashtiyoñ meñ samundar lapeT leñ

    pahlū meñ tere qurb patvār bhī to ho

    sab ko usī ke lahje tauqīr chāhiye

    'mohsin' kisī ko miir āzār bhī to ho

    ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

    ji ko lage kahin koi kirdar bhi to ho

    ye kya ki barg-e-zard sa TuTe bikhar gae

    aandhi chale hawaon ki yalghaar bhi to ho

    sar ko abas hai sang-e-tawatur ka samna

    sahn-e-makan mein shaKH-e-samar-bar bhi to ho

    anmol hum guhar hain magar tere waste

    bik jaen koi aisa KHaridar bhi to ho

    kaghaz ki kashtiyon mein samundar lapeT len

    pahlu mein tere qurb ki patwar bhi to ho

    sab ko usi ke lahje ki tauqir chahiye

    'mohsin' kisi ko mir sa aazar bhi to ho

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 480)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now