Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gila hai na ab hai shikayat kisi ki

Sarosh Lucknowi

gila hai na ab hai shikayat kisi ki

Sarosh Lucknowi

MORE BYSarosh Lucknowi

    gila hai na ab hai shikāyat kisī

    mazā de ga.ī vo nadāmat kisī

    khapī jaatī hai phir bhī āñkhoñ meñ kyā kyā

    yūhīñ hai gul meñ shabāhat kisī

    qayāmat hai kis tarah bardāsht hogī

    mohabbat ke badle mohabbat kisī

    azal ibtidā hai abad intihā hai

    na pūchho asīrī muddat kisī

    nahīñ aur kuchh ḳhuld-o-dozaḳh manshā

    vo duurī kisī ye qurbat kisī

    nigāhoñ meñ hai zahr hoñToñ meñ amrit

    hayāt-o-ajal haiñ karāmat kisī

    ġham-o-ranj-o-hirmān-o-dard-e-judā.ī

    milā ham ko kyā kyā badaulat kisī

    kaleje se kyūñkar lagā.e na rakkhūñ

    fishānī hai dāġh-e-mohabbat kisī

    adāoñ ne maarā huā naam ajal

    hai tohmat kisī par sharārat kisī

    har ik baar man man ke vo rūThte haiñ

    bigaḌtī hai ban ban ke qismat kisī

    shikast-e-ḳhudī suhānā vo naġhma

    vo uzr-e-taġhāful meñ luknat kisī

    judā.ī ko muddat huī phir bhī ab tak

    nigāhoñ meñ phirtī hai sūrat kisī

    gila hai na ab hai shikayat kisi ki

    maza de gai wo nadamat kisi ki

    khapi jati hai phir bhi aankhon mein kya kya

    yuhin si hai gul mein shabahat kisi ki

    qayamat hai kis tarah bardasht hogi

    mohabbat ke badle mohabbat kisi ki

    azal ibtida hai abad intiha hai

    na puchho asiri ki muddat kisi ki

    nahin aur kuchh KHuld-o-dozaKH ka mansha

    wo duri kisi ki ye qurbat kisi ki

    nigahon mein hai zahr honTon mein amrit

    hayat-o-ajal hain karamat kisi ki

    gham-o-ranj-o-hirman-o-dard-e-judai

    mila hum ko kya kya badaulat kisi ki

    kaleje se kyunkar lagae na rakkhun

    fishani hai dagh-e-mohabbat kisi ki

    adaon ne mara hua nam ajal ka

    hai tohmat kisi par shararat kisi ki

    har ek bar man man ke wo ruThte hain

    bigaDti hai ban ban ke qismat kisi ki

    shikast-e-KHudi ka suhana wo naghma

    wo uzr-e-taghaful mein luknat kisi ki

    judai ko muddat hui phir bhi ab tak

    nigahon mein phirti hai surat kisi ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now