hain mizaj aasman pe jis-tis ke
haiñ mizāj āsmāñ pe jis-tis ke
naaz uThā.eñ bhī ham to kis kis ke
bijliyoñ ke sunahrī harfoñ meñ
bādaloñ par haiñ dastaḳhat kis ke
aañkh se gar chhalak nahīñ paate
dil pe girte haiñ ashk ris ris ke
jaane kab hove dīda-var paidā
diide pathrā ga.e haiñ nargis ke
paañv chādar meñ rah na pā.eñge
haath phaile raheñge jis jis ke
ārzūoñ ke sūkhte gulban
muntazir yāsiyat kī māchis ke
kam se kam ghar ko ghar to rahne deñ
rakheñ office ko andar office ke
aks-e-daurāñ 'naqīb' kī ġhazleñ
silsile chand ratb-o-yābis ke
hain mizaj aasman pe jis-tis ke
naz uThaen bhi hum to kis kis ke
bijliyon ke sunahri harfon mein
baadalon par hain dastaKHat kis ke
aankh se gar chhalak nahin pate
dil pe girte hain ashk ris ris ke
jaane kab howe dida-war paida
dide pathra gae hain nargis ke
panw chadar mein rah na paenge
hath phaile rahenge jis jis ke
aarzuon ke sukhte gulban
muntazir yasiyat ki machis ke
kam se kam ghar ko ghar to rahne den
rakhen office ko andar office ke
aks-e-dauran 'naqib' ki ghazlen
silsile chand ratb-o-yabis ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.