aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah

Sarwar Arman

hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah

Sarwar Arman

MORE BYSarwar Arman

    ham to maujūd the rātoñ meñ ujāloñ tarah

    log nikle nahīñ DhūñDne vāloñ tarah

    jaane kyuuñ vaqt bhī āñkheñ bhī qalam bhī lab bhī

    aaj ḳhāmosh haiñ guzre hue sāloñ tarah

    hājateñ ziist ko ghere meñ liye rakhtī haiñ

    ḳhasta dīvār se chimTe hue jāloñ tarah

    raat bhīgī to sisaktī huī ḳhāmoshī se

    āsmāñ phuuT paḌā jism ke chhāloñ tarah

    saarī rāheñ sabhī socheñ sabhī bāteñ sabhī ḳhvāb

    kyuuñ haiñ tārīḳh ke be-rabt havāloñ tarah

    zindagī ḳhushk hai vīrān hai afsurda hai

    ek mazdūr ke bikhre hue bāloñ tarah

    zaḳhm pahne hue ma.asūm bhikārī bachche

    safha-e-dahr pe bikhre haiñ savāloñ tarah

    hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah

    log nikle hi nahin DhunDne walon ki tarah

    jaane kyun waqt bhi aankhen bhi qalam bhi lab bhi

    aaj KHamosh hain guzre hue salon ki tarah

    hajaten zist ko ghere mein liye rakhti hain

    KHasta diwar se chimTe hue jalon ki tarah

    raat bhigi to sisakti hui KHamoshi se

    aasman phuT paDa jism ke chhaalon ki tarah

    sari rahen sabhi sochen sabhi baaten sabhi KHwab

    kyun hain tariKH ke be-rabt hawalon ki tarah

    zindagi KHushk hai viran hai afsurda hai

    ek mazdur ke bikhre hue baalon ki tarah

    zaKHm pahne hue masum bhikari bachche

    safha-e-dahr pe bikhre hain sawalon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now