Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya

Nazeer Meeruthy

hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya

Nazeer Meeruthy

MORE BYNazeer Meeruthy

    hamā-shumā ko nahīñ dost ko bhuul gayā

    na bhūlnā thā jise vo usī ko bhuul gayā

    tavañgarī ne badal diyā hai us mizāj

    vo mujh ko aur mirī dostī ko bhuul gayā

    kamī to mai nahīñ thī magar mirā saaqī

    kisī ko jaam diyā aur kisī ko bhuul gayā

    itā.ateñ to jiine ain maqsad hai

    ḳhudā banda magar bandagī ko bhuul gayā

    vo merī jaan dushman hai jāntā thā maiñ

    milā jo hañs ke to meñ dushmanī ko bhuul gayā

    qafas meñ rahne sayyād ye nahīñ matlab

    qafas meñ rah ke maiñ parvāz ko bhuul gayā

    tamām-umr maiñ shāyad tirī talāsh meñ thā

    mil gayā to maiñ āvārgī ko bhuul gayā

    safar tavīl thā aur maiñ thakā huā thā 'nazīr'

    lagan thī itnī ki vāmāndagī ko bhuul gayā

    hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya

    na bhulna tha jise wo usi ko bhul gaya

    tawangari ne badal hi diya hai us ka mizaj

    wo mujh ko aur meri dosti ko bhul gaya

    kami to mai ki nahin thi magar mera saqi

    kisi ko jam diya aur kisi ko bhul gaya

    itaaten hi to jine ka ain maqsad hai

    KHuda ka banda magar bandagi ko bhul gaya

    wo meri jaan ka dushman hai jaanta tha main

    mila jo hans ke to mein dushmani ko bhul gaya

    qafas mein rahne ka sayyaad ye nahin matlab

    qafas mein rah ke main parwaz hi ko bhul gaya

    tamam-umr main shayad teri talash mein tha

    tu mil gaya to main aawargi ko bhul gaya

    safar tawil tha aur main thaka hua tha 'nazir'

    lagan thi itni ki wamandagi ko bhul gaya

    Source:

    Kisht-e-Gul (Pg. 74)

    • Author: Nazeer Merathi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Edutational Publishing House
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now