Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub

Munawar Khan Ghafil

har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub

Munawar Khan Ghafil

MORE BYMunawar Khan Ghafil

    har uzv-e-badan ek se hai ek tirā ḳhuub

    siine safā.ī se hai chehre safā ḳhuub

    qāsid ke badan par alif-e-zaḳhm lage haiñ

    ḳhat mire likkhā ye javāb aap ne kyā ḳhuub

    āgāh nahīñ hai koī ahvāl se mere

    jo mujh pe guzartī hai vo jaane hai ḳhudā ḳhuub

    ban ban ke dahan halqa-e-gesū-e-musalsal

    luuTe hai tire bosa-e-āriz mazā ḳhuub

    abtar huā jo sher kahā zulf terī

    bāñdhā koī mazmūn hinā to bañdhā ḳhuub

    madfūñ kiyā terī galī meñ use āḳhir

    paa.ī tire āshiq ne pas-e-marg bhī ḳhuub

    do-chār shab maah to rahtā hai nahufta

    muddat hui dekhā nahīñ vo maah chhupā ḳhuub

    sharbat ke evaz sūda-e-almās pilāyā

    aap ne bīmār-e-mohabbat davā ḳhuub

    ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbūh tere

    kyā ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār tirā tez na thā ḳhuub

    maġhrūr na honā karam-e-yār pe 'ġhāfil'

    pā.egā abhī dil ke lagāne sazā ḳhuub

    har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub

    sine ki safai se hai chehre ki safa KHub

    qasid ke badan par alif-e-zaKHm lage hain

    KHat ka mere likkha ye jawab aap ne kya KHub

    aagah nahin hai koi ahwal se mere

    jo mujh pe guzarti hai wo jaane hai KHuda KHub

    ban ban ke dahan halqa-e-gesu-e-musalsal

    luTe hai tere bosa-e-ariz ka maza KHub

    abtar hua jo sher kaha zulf ka teri

    bandha koi mazmun hina ka to bandha KHub

    madfun kiya teri hi gali mein use aaKHir

    pai tere aashiq ne pas-e-marg bhi ja KHub

    do-chaar hi shab mah to rahta hai nahufta

    muddat hui dekha nahin wo mah chhupa KHub

    sharbat ke ewaz suda-e-almas pilaya

    ki aap ne bimar-e-mohabbat ki dawa KHub

    ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbuh ka tere

    kya KHanjar-e-KHun-KHwar tera tez na tha KHub

    maghrur na hona karam-e-yar pe 'ghafil'

    paega abhi dil ke lagane ki saza KHub

    Source:

    Deewan-e-Ghafil (Pg. 22)

    • Author: Munawar Khan Ghafil
      • Edition: 1872
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1872
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now