Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hosh nahin hai dosh ka jalwa-gah-e-namaz mein

Arzoo Saharanpuri

hosh nahin hai dosh ka jalwa-gah-e-namaz mein

Arzoo Saharanpuri

MORE BYArzoo Saharanpuri

    hosh nahīñ hai dosh jalva-gah-e-namāz meñ

    sar kuchh pata nahīñ sajda-e-be-niyāz meñ

    sub.h-e-azal bhī be-naqāb jis nigāh-e-nāz meñ

    haa.e vo sūrat-e-jamīl but-kada-e-majāz meñ

    ishq zindagī raaz gum hai shikast-e-sāz meñ

    ishrat-e-rūh DhūñDiye shorish-e-jāñ-gudāz meñ

    juz dil-e-ishq-e-mo'atabar aur ko is kyā ḳhabar

    ālam-e-rañg rañg hai parda-e-rāz raaz meñ

    merī nigāh-e-shauq meñ vo bhī maqām hai jahāñ

    husn bhī pata nahīñ apnī harīm-e-nāz meñ

    kaise rukūa kyā sujūd kaise qayām kyā qu.uud

    merī namāz kho ga.ī kaifiyat-e-namāz meñ

    ai dil-o-jān-e-āshiqāñ maanā ki kuchh nahīñ yahāñ

    tere sivā magar hai kyā dīda-e-imtiyāz meñ

    nisbat-e-husn hai mujhe ishq se rabt hai mirā

    sho.ala-e-barq-e-nāz huuñ vādī-e-soz-o-sāz meñ

    'ārzū' merī ziist ab tishna-e-īn-o-āñ nahīñ

    merā guzar hai āj-kal yaar bazm-e-nāz meñ

    hosh nahin hai dosh ka jalwa-gah-e-namaz mein

    sar hi ka kuchh pata nahin sajda-e-be-niyaz mein

    subh-e-azal bhi be-naqab jis ki nigah-e-naz mein

    hae wo surat-e-jamil but-kada-e-majaz mein

    ishq ki zindagi ka raaz gum hai shikast-e-saz mein

    ishrat-e-ruh DhunDiye shorish-e-jaan-gudaz mein

    juz dil-e-ishq-e-mo'atabar aur ko is ki kya KHabar

    aalam-e-rang rang hai parda-e-raaz raaz mein

    meri nigah-e-shauq mein wo bhi maqam hai jahan

    husn ka bhi pata nahin apni harim-e-naz mein

    kaise rukua kya sujud kaise qayam kya quud

    meri namaz kho gai kaifiyat-e-namaz mein

    ai dil-o-jaan-e-ashiqan mana ki kuchh nahin yahan

    tere siwa magar hai kya dida-e-imtiyaz mein

    nisbat-e-husn hai mujhe ishq se rabt hai mera

    shoala-e-barq-e-naz hun wadi-e-soz-o-saz mein

    'arzu' meri zist ab tishna-e-in-o-an nahin

    mera guzar hai aaj-kal yar ki bazm-e-naz mein

    Source:

    Ilham-e-Sehar (Pg. 114)

    • Author: Arzoo Saharanpuri
      • Publisher: Urdu Markaz, Maghribi Bengal
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now