Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain

Raza Azimabadi

ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain

Raza Azimabadi

MORE BYRaza Azimabadi

    ishq bīmārī hai jin ko dil dil meñ galte haiñ

    murde haiñ vo haqīqat meñ zāhir meñ phirte chalte haiñ

    jab raah meñ mil ga.e kahne lage tere ghar meñ jaatā thā

    jaao chale laḌkā nahīñ maiñ mujh ko apne machalte haiñ

    auroñ ke lagāne-bujhāne se itnā jalāte ho mujh ko

    Dariye hamārī aahoñ se ham log bhī jalte-balte haiñ

    sab kahte haiñ un ke muñh meñ to āb-e-hayāt bharā hai sab

    ham se jo karte haiñ bāteñ phir kyuuñ zahr ugalte haiñ

    kaise dard sher paḌheñ ve yuuñ bhī na pūchhe kyā bak ga.e

    jin ke dil patthar haiñ so kab in bātoñ se pighalte haiñ

    bas kariye chup rahiye ab khulvānā rāzoñ ḳhuub nahīñ

    malte haiñ ham haath paḌe koī aur kuchh aur malte haiñ

    mere ashk-e-surḳh se tum yuuñ ġhāfil ho afsos afsos

    dekho to ye la.al ke TukḌe kaise ḳhaak meñ rulte haiñ

    shāyad aate jaate phir us ḳhāna-jañg se bigḌī hai

    ghar se bahut kam mīr-'razā'-jī ab in rozoñ nikalte haiñ

    ishq ki bimari hai jin ko dil hi dil mein galte hain

    murde hain wo haqiqat mein zahir mein phirte chalte hain

    jab rah mein mil gae kahne lage tere hi ghar mein jata tha

    jao chale laDka tu nahin main mujh ko apne machalte hain

    auron ke lagane-bujhane se itna jalate ho mujh ko

    Dariye hamari aahon se hum log bhi jalte-balte hain

    sab kahte hain un ke munh mein to aab-e-hayat bhara hai sab

    hum se jo karte hain baaten phir kyun zahr ugalte hain

    kaise hi dard ka sher paDhen we yun bhi na puchhe kya bak gae

    jin ke dil patthar hain so kab in baaton se pighalte hain

    bas kariye chup rahiye ab khulwana raazon ka KHub nahin

    malte hain hum hath paDe koi aur kuchh aur hi malte hain

    mere ashk-e-surKH se tum yun ghafil ho afsos afsos

    dekho to ye lal ke TukDe kaise KHak mein rulte hain

    shayad aate jate phir us KHana-jang se bigDi hai

    ghar se bahut kam mir-'raza'-ji ab in rozon nikalte hain

    Source:

    Deewan-e-Raza Azeemabadi (Pg. ebook-65 page-43)

    • Author: Qazi Abdul Wadood
      • Edition: 1956
      • Publisher: Idara-e-Tahqiqat-e-Urdu, Patna
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now