Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega

Mohammad Ahmad

ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega

Mohammad Ahmad

MORE BYMohammad Ahmad

    ke pachhtā.eñge na ke bhī pachhtā.iyegā

    aap jaate haiñ vahāñ achchhā chale jā.iyegā

    maiñ ka.ī din hue ḳhud se jhagaḌ baiThā huuñ

    aap fursat se kisī din mujhe samjhā.iyegā

    maiñ ḳhayāloñ meñ bhaTak jaatā huuñ baiThe baiThe

    bhej aahaT sandesa mujhe bulvā.iyegā

    maiñ ne zulmat meñ guzāre haiñ ka.ī qarn so aap

    raushnī se jo maiñ Dar jā.ūñ na ghabrā.iyegā

    maiñ samajhtā huuñ mujhe log samajhte nahīñ

    maiñ kisī roz na samjhūñ to samajh jā.iyegā

    gaah ho jaatā huuñ maiñ apnī anā qaidī

    maiñ na aa.uuñ to phir aa kar mujhe chhuḌvā.egā

    ḳhair-maqdam ko hai tayyār jahāñ jā.iye aap

    haañ palaTnā ho to phir mere ho jā.iyegā

    mujh se zid hai to phir us zid ko nibhāne ke liye

    maiñ jo mar jā.ūñ to phir aap bhī mar jā.iyegā

    jām-e-jam fikr rakhtā hai nirāle manzar

    aap jo dekhte haiñ duniyā ko dikhlā.iyegā

    soch jab yaksāñ na ho qāfila kis kaam hai

    aap 'ahmad' kahīñ raste meñ rah jā.iyegā

    ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega

    aap jate hain wahan achchha chale jaiyega

    main kai din hue KHud se hi jhagaD baiTha hun

    aap fursat se kisi din mujhe samjhaiyega

    main KHayalon mein bhaTak jata hun baiThe baiThe

    bhej aahaT ka sandesa mujhe bulwaiyega

    main ne zulmat mein guzare hain kai qarn so aap

    raushni se jo main Dar jaun na ghabraiyega

    main samajhta hun mujhe log samajhte hi nahin

    main kisi roz na samjhun to samajh jaiyega

    gah ho jata hun main apni ana ka qaidi

    main na aaun to phir aa kar mujhe chhuDwaega

    KHair-maqdam ko hai tayyar jahan jaiye aap

    han palaTna ho to phir mere hi ho jaiyega

    mujh se zid hai to phir us zid ko nibhane ke liye

    main jo mar jaun to phir aap bhi mar jaiyega

    jam-e-jam fikr ka rakhta hai nirale manzar

    aap jo dekhte hain duniya ko dikhlaiyega

    soch jab yaksan na ho qafila kis kaam ka hai

    aap 'ahmad' kahin raste mein hi rah jaiyega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now