Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jab bhi humne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya

Meena Khan

jab jab bhi humne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya

Meena Khan

MORE BYMeena Khan

    jab jab bhī ham ne ham-nashīñ dil kahā nahīñ kiyā

    aisā lagā hai zindagī haq adā nahīñ kiyā

    kahne ko yuuñ to aap se shikve hazār the magar

    ham ne kabhī ḳhilāf-e-dil koī gilā nahīñ kiyā

    dil ke muāmlāt the dil meñ dafn kar liye

    us bevafā se ham ne phir zikr-e-vafā nahīñ kiyā

    kuchh to huā zarūr hai ham se agar ḳhafā hai vo

    ham ne to jān-būjh kar us ko ḳhafā nahīñ kiyā

    kār-e-jahāñ meñ ḳhūb-tar guzrī hai apnī zindagī

    lekin ye dil pe bojh hai kār-e-ḳhudā nahīñ kiyā

    tanhā.iyoñ meñ ḳhud se ham mahv-e-guftugū rahe

    us ke sivā kisī se phir ahd-e-vafā nahīñ kiyā

    aisā bhī daur-e-zīst thā shah-rag se vo qarīb thā

    ab hai vo be-niyāz to ham ne pata nahīñ kiyā

    ā.eñge lauT kar vo dil ko yaqīñ thā is liye

    ham ne kisī ke vāste darvāza nahīñ kiyā

    jab jab bhi hum ne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya

    aisa laga hai zindagi ka haq ada nahin kiya

    kahne ko yun to aap se shikwe hazar the magar

    hum ne kabhi KHilaf-e-dil koi gila nahin kiya

    dil ke muamlat the dil mein hi dafn kar liye

    us bewafa se hum ne phir zikr-e-wafa nahin kiya

    kuchh to hua zarur hai hum se agar KHafa hai wo

    hum ne to jaan-bujh kar us ko KHafa nahin kiya

    kar-e-jahan mein KHub-tar guzri hai apni zindagi

    lekin ye dil pe bojh hai kar-e-KHuda nahin kiya

    tanhaiyon mein KHud se hi hum mahw-e-guftugu rahe

    us ke siwa kisi se phir ahd-e-wafa nahin kiya

    aisa bhi daur-e-zist tha shah-rag se wo qarib tha

    ab hai wo be-niyaz to hum ne pata nahin kiya

    aaenge lauT kar wo hi dil ko yaqin tha is liye

    hum ne kisi ke waste darwaza wa nahin kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now