jab koi mehrban hota hai
jab koī mehrbān hotā hai
dil bahut ḳhush-gumān hotā hai
jis ke pairoñ tale zamīn nahīñ
us kā saarā jahān hotā hai
rāsta sach kā hai kaThin pyāre
har qadam imtihān hotā hai
chīḳh uThtī haiñ ghar kī dīvāreñ
dard kab be-zabān hotā hai
achchhī lagtī hai dhuup kī shiddat
sar pe jab sā.ebān hotā hai
ek pattī bhī TūTne se 'majīd'
ġham-zada bāġhbān hotā hai
jab koi mehrban hota hai
dil bahut KHush-guman hota hai
jis ke pairon tale zamin nahin
us ka sara jahan hota hai
rasta sach ka hai kaThin pyare
har qadam imtihan hota hai
chiKH uThti hain ghar ki diwaren
dard kab be-zaban hota hai
achchhi lagti hai dhup ki shiddat
sar pe jab saeban hota hai
ek patti bhi TuTne se 'majid'
gham-zada baghban hota hai
- Ek Aag Si Seene Mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.