Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se unki dum ka chhalla ban gae

Mohammad Yusuf Papa

jab se unki dum ka chhalla ban gae

Mohammad Yusuf Papa

MORE BYMohammad Yusuf Papa

    jab se un dum chhallā ban ga.e

    ham akele the mohalla ban ga.e

    saal bhar meñ ḳhudā ye kyā huā

    mard se ham uuī allāh ban ga.e

    ban gayā jis vaqt maiñ nafrat geñd

    sab chilam-bardār ballā ban ga.e

    husn jab biivī banā ham us ke baa'd

    nuun lakḌī tel ġhalla ban ga.e

    shāntī vāloñ se jab kursī chhinī

    sab ke sab haḌboñg hallā ban ga.e

    dekhte un ko jebeñ saaf thiiñ

    ek jalve meñ mujalla ban ga.e

    jab se un ki dum ka chhalla ban gae

    hum akele the mohalla ban gae

    sal bhar mein ya KHuda ye kya hua

    mard se hum ui allah ban gae

    ban gaya jis waqt main nafrat ki gend

    sab chilam-bardar balla ban gae

    husn jab biwi bana hum us ke ba'd

    nun lakDi tel ghalla ban gae

    shanti walon se jab kursi chhini

    sab ke sab haDbong halla ban gae

    dekhte hi un ko jeben saf thin

    ek jalwe mein mujalla ban gae

    Source:

    Deewar-e-Qehqaha (Pg. 29)

    • Author: Mohammad Yusuf Papa
      • Publisher: Nai Awaz Jamia Nagar, New Delhi
      • Year of Publication: 1982

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now