Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafa ka uski gila mat karo hua so hua

nayan sukh

jafa ka uski gila mat karo hua so hua

nayan sukh

MORE BYnayan sukh

    jafā us gilā mat karo huā so huā

    ḳhudā ke vāste chupke raho huā so huā

    sunegā vo to ḳhafā hogā phir na.e sar se

    kasū ke kaan meñ kuchh mat kaho huā so huā

    ye guftugū jo karo ho so kuchh bhalī nahīñ hai

    kisī se fel-e-abas mat laḌo huā so huā

    mujhe to paak mohabbat hai mat karo badnām

    kahīñ ḳhudā ke ġhazab se Daro huā so huā

    phire hai vo to sipar saif le are yaaro

    kisī se qaziya na ho dekhiyo huā so huā

    ye maraz-e-ishq hai is davā karo mauqūf

    tabīb muft meñ rusvā na ho huā so huā

    girā jo chāh-e-zanaḳh meñ koī to yuuñ bolā

    sazā hai ġhota zarā khāne do huā so huā

    sunā jab un ne falānā to aaj mar gayā

    kahā balā se mirī koī maro huā so huā

    agar nasīb meñ aisā kuchh likhā hai 'nain'

    to phiir bas nahīñ lāchār jo huā so huā

    jafa ka us ki gila mat karo hua so hua

    KHuda ke waste chupke raho hua so hua

    sunega wo to KHafa hoga phir nae sar se

    kasu ke kan mein kuchh mat kaho hua so hua

    ye guftugu jo karo ho so kuchh bhali nahin hai

    kisi se fel-e-abas mat laDo hua so hua

    mujhe to pak mohabbat hai mat karo badnam

    kahin KHuda ke ghazab se Daro hua so hua

    phire hai wo to sipar saif le are yaro

    kisi se qaziya na ho dekhiyo hua so hua

    ye maraz-e-ishq hai is ki dawa karo mauquf

    tabib muft mein ruswa na ho hua so hua

    gira jo chah-e-zanaKH mein koi to yun bola

    saza hai ghota zara khane do hua so hua

    suna jab un ne falana to aaj mar hi gaya

    kaha bala se meri koi maro hua so hua

    agar nasib mein aisa hi kuchh likha hai 'nain'

    to phir bas nahin lachaar jo hua so hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now