Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta

Shahzad Nayyar

jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta

Shahzad Nayyar

MORE BYShahzad Nayyar

    jaise dekhā hai dikhāyā bhī nahīñ saktā

    ḳhvāb haal sunāyā bhī nahīñ saktā

    pheñkī jaatī bhī nahīñ raah meñ yādeñ us

    aur ye bojh uThāyā bhī nahīñ saktā

    aks ko aañkh se thāmā hai sar-e-āb-e-ravāñ

    chāñd paanī meñ bahāyā bhī nahīñ saktā

    do kināre bhī ye hote to milā detā maiñ

    dil ko duniyā se milāyā bhī nahīñ saktā

    hote hote vo mujhe ishq-nagar le gayā

    maiñ ne sau baar batāyā bhī nahīñ saktā

    is jagah rah ke maiñ aayā huuñ taḳhayyul vaalo

    jis jagah soch saayā bhī nahīñ saktā

    nā-murādī ruḳh-e-qātil pe likhī rahtī hai

    ḳhuun daaġh miTāyā bhī nahīñ saktā

    haal ā.inda sunātā chalā jaatā lekin

    hañsne vāloñ ko rulāyā bhī nahīñ saktā

    varna din-rāt maiñ sar-toḌ mashaqqat kartā

    kyā karūñ pyaar kamāyā bhī nahīñ saktā

    ab maiñ kyā raah nikālūñ ki judā.ī jaa.e

    us se aayā bhī bulāyā bhī nahīñ saktā

    dil mismār kareñ ahl-e-mohabbat 'nayyar'

    puurā māhaul to Dhāyā bhī nahīñ saktā

    jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta

    KHwab ka haal sunaya bhi nahin ja sakta

    phenki jati bhi nahin rah mein yaaden us ki

    aur ye bojh uThaya bhi nahin ja sakta

    aks ko aankh se thama hai sar-e-ab-e-rawan

    chand pani mein bahaya bhi nahin ja sakta

    do kinare bhi ye hote to mila deta main

    dil ko duniya se milaya bhi nahin ja sakta

    hote hote wo mujhe ishq-nagar le hi gaya

    main ne sau bar bataya bhi nahin ja sakta

    is jagah rah ke main aaya hun taKHayyul walo

    jis jagah soch ka saya bhi nahin ja sakta

    na-muradi ruKH-e-qatil pe likhi rahti hai

    KHun ka dagh miTaya bhi nahin ja sakta

    haal aainda sunata chala jata lekin

    hansne walon ko rulaya bhi nahin ja sakta

    warna din-raat main sar-toD mashaqqat karta

    kya karun pyar kamaya bhi nahin ja sakta

    ab main kya rah nikalun ki judai jae

    us se aaya bhi bulaya bhi nahin ja sakta

    dil hi mismar karen ahl-e-mohabbat 'nayyar'

    pura mahaul to Dhaya bhi nahin ja sakta

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shahzad Nayyar

    Shahzad Nayyar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now