Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar gaya sad-para jo pal mein dil-e-naKHchir hai

Talha Gauhar Chishtii

kar gaya sad-para jo pal mein dil-e-naKHchir hai

Talha Gauhar Chishtii

MORE BYTalha Gauhar Chishtii

    kar gayā sad-pāra jo pal meñ dil-e-naḳhchīr hai

    said-gāh-e-ishq se niklā huā ik tiir hai

    ho gayā paivast paikāñ tīr-e-husn-e-yār

    ye mirā hai ḳhvāb ā.īna-e-ta.abīr hai

    qābil-e-tahsīn kab thī dāstāñ mai-ḳhvār

    kuchh hai saaqī karam kuchh shoḳhi-e-tahrīr hai

    kar nahīñ sakte ilaaj us tabībān-e-jahāñ

    us marīz-e-ishq ko ye dard iksīr hai

    jis ne dekhā ik nazar phir sochtā rah gayā

    kitnā dilkash shaḳhs hogā jis ye tasvīr hai

    phūñk de barq-e-tapāñ us ke qafas ko phūñk de

    mubtalā-e-ishq jo hai vājib-e-ta.azīr hai

    mil gayā 'gauhar' tumheñ bhī zīna-e-merāj-e-ishq

    ġhair samjhe the ki terī aah be-tāsīr hai

    kar gaya sad-para jo pal mein dil-e-naKHchir hai

    said-gah-e-ishq se nikla hua ek tir hai

    ho gaya paiwast paikan tir-e-husn-e-yar ka

    ye mera hai KHwab ya aaina-e-tabir hai

    qabil-e-tahsin kab thi dastan mai-KHwar ki

    kuchh hai saqi ka karam kuchh shoKHi-e-tahrir hai

    kar nahin sakte ilaj us ka tabiban-e-jahan

    us mariz-e-ishq ko ye dard hi iksir hai

    jis ne dekha ek nazar phir sochta hi rah gaya

    kitna dilkash shaKHs hoga jis ki ye taswir hai

    phunk de barq-e-tapan us ke qafas ko phunk de

    mubtala-e-ishq jo hai wajib-e-tazir hai

    mil gaya 'gauhar' tumhein bhi zina-e-meraj-e-ishq

    ghair samjhe the ki teri aah be-tasir hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now