Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khanDar jo ho gaya aisa makan kis ka tha

Rukhsana amrohvii

khanDar jo ho gaya aisa makan kis ka tha

Rukhsana amrohvii

MORE BYRukhsana amrohvii

    khañDar jo ho gayā aisā makān kis thā

    havā jo sah na sakā sā.ebān kis thā

    zamīn kis thī aur āsmān kis thā

    ḳhayāl kis thā dil meñ gumān kis thā

    thake hue the musāfir kināre lag jaate

    vo kashtī Duub ga.ī bādbān kis thā

    ġhurūr thā jinheñ apnī zamīn-dārī

    zamīn-doz huā ḳhāndān kis thā

    vo ek lamha bhī mere qarīb aa na sakā

    maiñ jis ko chhū na sakī āsmān kis thā

    ḳhudā samajh ke jhukāyā thā sar tire aage

    jabīñ pe merī vo dhuñdlā nishān kis thā

    jo chhīn le gayā mujh se mirī matā-e-hayāt

    vo haath tere mire darmiyān kis thā

    shikārī ho ke huā ḳhud shikār hairat hai

    jo ūñche peḌ pe thā vo machān kis thā

    vo jis aaj bhī 'ruḳhsār' guuñj baaqī hai

    misālī shahr meñ vo ḳhāndān kis thā

    khanDar jo ho gaya aisa makan kis ka tha

    hawa jo sah na saka saeban kis ka tha

    zamin kis ki thi aur aasman kis ka tha

    KHayal kis ka tha dil mein guman kis ka tha

    thake hue the musafir kinare lag jate

    wo kashti Dub gai baadban kis ka tha

    ghurur tha jinhen apni zamin-dari ka

    zamin-doz hua KHandan kis ka tha

    wo ek lamha bhi mere qarib aa na saka

    main jis ko chhu na saki aasman kis ka tha

    KHuda samajh ke jhukaya tha sar tere aage

    jabin pe meri wo dhundla nishan kis ka tha

    jo chhin le gaya mujh se meri mata-e-hayat

    wo hath tere mere darmiyan kis ka tha

    shikari ho ke hua KHud shikar hairat hai

    jo unche peD pe tha wo machan kis ka tha

    wo jis ki aaj bhi 'ruKHsar' gunj baqi hai

    misali shahr mein wo KHandan kis ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now