Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko milne ka uske chaw nahin

Hakeem Aagha Jan Aish

kis ko milne ka uske chaw nahin

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    kis ko milne us ke chaav nahīñ

    kis ko us shoḳh se lagāo nahīñ

    kaun dil hai vo ki jis dil meñ

    us ke tīr-e-nigah ghaav nahīñ

    mus.haf-e-ruḳh pe kyūñki Thahre nazar

    is meñ mutlaq koī rahāv nahīñ

    dil thā apnā diyā jise chāhā

    kuchh kisī hameñ dabāo nahīñ

    ahl-e-ġhairat ko nān-e-ḳhushk apnī

    ba-ḳhudā kuchh kam az polāv nahīñ

    bas kahā maano aao hazrat-e-dil

    jhūTe vā'doñ pe us ke jaao nahīñ

    qaul hai ahl-e-tajraba yahī

    āzmā.e ko āzmāo nahīñ

    ātish-e-ġham meñ terī furqat ne

    dil ko kis din diyā tapāv nahīñ

    us ke ruḳh vo āb-o-tāb hai 'aish'

    mah-o-ḳhurshīd jis ke paav nahīñ

    kis ko milne ka us ke chaw nahin

    kis ko us shoKH se lagao nahin

    kaun sa dil hai wo ki jis dil mein

    us ke tir-e-nigah ka ghaw nahin

    mushaf-e-ruKH pe kyunki Thahre nazar

    is mein mutlaq koi rahaw nahin

    dil tha apna diya jise chaha

    kuchh kisi ka hamein dabao nahin

    ahl-e-ghairat ko nan-e-KHushk apni

    ba-KHuda kuchh kam az polaw nahin

    bas kaha mano aao hazrat-e-dil

    jhuTe wa'don pe us ke jao nahin

    qaul hai ahl-e-tajraba ka yahi

    aazmae ko aazmao nahin

    aatish-e-gham mein teri furqat ne

    dil ko kis din diya tapaw nahin

    us ke ruKH ki wo aab-o-tab hai 'aish'

    mah-o-KHurshid jis ke paw nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now