Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai

Shamim Anwar

koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai

Shamim Anwar

MORE BYShamim Anwar

    koī shai Duube to dariyā meñ lahar jaage hai

    kab azaañ murġh ke dene se sahar jaage hai

    kañkarī maare se paanī meñ asar jaage hai

    ik zarā ḳhvāhish-e-parvāz se par jaage hai

    un ko mimbar bulandī se tashaffī na huī

    jin āvāz pe tahrīk sar jaage hai

    niiñd kaa.ī se bojhal hai har ik aañkh magar

    sañg ke ḳhauf se shīshe nagar jaage hai

    lazzat-e-dard samundar se nahīñ siip se pūchh

    jis āġhosh meñ qatre se guhar jaage hai

    rañg-o-roġhan ke badalne se bhalā kyā hāsil

    nannhī kilkāriyāñ jaage hai to ghar jaage hai

    phir ḳhañghalne ko hai kyā ḳhitta-e-nā-dīda koī

    phir kaf-e-pā meñ sar-e-shuq-e-safar jaage hai

    ghar ke pichhvāḌe mahaktī huī sargoshī se

    kitne biite hue lamhoñ khañDar jaage hai

    koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai

    kab azan murgh ke dene se sahar jage hai

    kankari mare se pani mein asar jage hai

    ek zara KHwahish-e-parwaz se par jage hai

    un ko mimbar ki bulandi se tashaffi na hui

    jin ki aawaz pe tahrik ka sar jage hai

    nind ki kai se bojhal hai har ek aankh magar

    sang ke KHauf se shishe ka nagar jage hai

    lazzat-e-dard samundar se nahin sip se puchh

    jis ki aaghosh mein qatre se guhar jage hai

    rang-o-roghan ke badalne se bhala kya hasil

    nannhi kilkariyan jage hai to ghar jage hai

    phir KHanghalne ko hai kya KHitta-e-na-dida koi

    phir kaf-e-pa mein sar-e-shuq-e-safar jage hai

    ghar ke pichhwaDe mahakti hui sargoshi se

    kitne bite hue lamhon ka khanDar jage hai

    Source:

    Ajnabi Khuda (Pg. 56)

    • Author: Shamim Anwar
      • Edition: 1974
      • Publisher: Aqdar Kitab Ghar, Kolkata
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now