Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat

Sayyad Ameer Hasan Badr

kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat

Sayyad Ameer Hasan Badr

MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr

    kyā kahiye kaaTī hijr kyūñkar tamām raat

    āh-e-jigar-gudāz thī lab par tamām raat

    aaya na karke va.ada jo dilbar tamām raat

    betāb dil thā jaan thī muztar tamām raat

    vo mahv-e-ḳhvāb-e-nāz jo bālā-e-bām the

    niklā na sharm se mah-e-anvar tamām raat

    ārā.ishoñ shauq yahī hai to aa chuke

    bantī rahegī zulf-e-mo.ambar tamām raat

    sone diyā na us but-e-ġhaflat-shi.ār ko

    afsāna dard-e-dil sunā kar tamām raat

    bedāriyāñ na pūchhiye ham ḳhufta-baḳht

    kaaTī hai yūñhī jaag ke aksar tamām raat

    Thankā na un māthā na chauñke vo niiñd se

    dar par paTaktā rah gayā maiñ sar tamām raat

    āñkhoñ meñ maiñ ne sub.h shab-e-intizār

    gintā rahā huuñ baiTh ke aḳhtar tamām raat

    mizhgāñ yaad thī jo shab-e-hijr-e-yār meñ

    chubhtā rahā hai siine meñ nashtar tamām raat

    betāb kar rahī haiñ tirī be-qarāriyāñ

    taḌpā karegā kyā dil-e-muztar tamām raat

    allah re zo.af uf ġhashī hijr-e-yār meñ

    murda thā paḌā sar-e-bistar tamām raat

    gesū yaad aur shab-e-tār hijr

    kaalī balā savār thī sar par tamām raat

    surma lagā rahā hai fusūñ-sāz aañkh meñ

    jaadū jagā.egā vo fusūñ-gar tamām raat

    bhar diiñ haiñ hijr-e-yār ne rag-rag meñ bijliyāñ

    taḌpūñ na shakl-e-barq maiñ kyūñkar tamām raat

    thī yaad meñ jo sāqī-e-kausar chashm-e-mast

    piitā rahā huuñ bāda-e-at.har tamām raat

    sajda maiñ shukr karūñ ai 'badr' vaqt-e-sub.h

    daulat jo vasl ho mayassar tamām raat

    kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat

    aah-e-jigar-gudaz thi lab par tamam raat

    aaya na karke wada jo dilbar tamam raat

    betab dil tha jaan thi muztar tamam raat

    wo mahw-e-KHwab-e-naz jo baala-e-baam the

    nikla na sharm se mah-e-anwar tamam raat

    aaraishon ka shauq yahi hai to aa chuke

    banti rahegi zulf-e-moambar tamam raat

    sone diya na us but-e-ghaflat-shiar ko

    afsana dard-e-dil ka suna kar tamam raat

    bedariyan na puchhiye hum KHufta-baKHt ki

    kaTi hai yunhi jag ke aksar tamam raat

    Thanka na un ka matha na chaunke wo nind se

    dar par paTakta rah gaya main sar tamam raat

    aankhon mein main ne subh shab-e-intizar ki

    ginta raha hun baiTh ke aKHtar tamam raat

    mizhgan ki yaad thi jo shab-e-hijr-e-yar mein

    chubhta raha hai sine mein nashtar tamam raat

    betab kar rahi hain teri be-qarariyan

    taDpa karega kya dil-e-muztar tamam raat

    allah re zoaf uf ri ghashi hijr-e-yar mein

    murda sa tha paDa sar-e-bistar tamam raat

    gesu ki yaad aur shab-e-tar hijr ki

    kali bala sawar thi sar par tamam raat

    surma laga raha hai fusun-saz aankh mein

    jadu jagaega wo fusun-gar tamam raat

    bhar din hain hijr-e-yar ne rag-rag mein bijliyan

    taDpun na shakl-e-barq main kyunkar tamam raat

    thi yaad mein jo saqi-e-kausar ki chashm-e-mast

    pita raha hun baada-e-athar tamam raat

    sajda main shukr ka karun ai 'badr' waqt-e-subh

    daulat jo wasl ki ho mayassar tamam raat

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now