Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun

Akhtar Shahjahanpuri

lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun

Akhtar Shahjahanpuri

MORE BYAkhtar Shahjahanpuri

    lamha lamha yahī sochūñ yahī dekhā chāhūñ

    terī āñkhoñ meñ to bas apnā chehra chāhūñ

    ye bhī kyā baat ki maiñ terī anā ḳhātir

    terī qāmat se ziyāda tirā saayā chāhūñ

    mujh se ulfat bhī nahīñ hai to na jaane phir kyuuñ

    terī mahfil meñ faqat apnā charchā chāhūñ

    vo to gūñgā hai magar mujh ko ye zid hai kaisī

    apnī tārīf meñ kuchh us se bhī sunñā chāhūñ

    saath dene se hue jaate haiñ qāsir alfāz

    jaane kyā kyā maiñ tirī shaan meñ likhnā chāhūñ

    maiñ to ik aisā musāfir huuñ jo thaktā nahīñ

    apnī manzil se bhī aage koī jaada chāhūñ

    dil se bādal kabhī uThte nahīñ haiñ 'aḳhtar'

    kis liye āñkhoñ se bahtā huā dariyā chāhūñ

    lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun

    teri aankhon mein to bas apna hi chehra chahun

    ye bhi kya baat ki main teri ana ki KHatir

    teri qamat se ziyaada tera saya chahun

    mujh se ulfat bhi nahin hai to na jaane phir kyun

    teri mahfil mein faqat apna hi charcha chahun

    wo to gunga hai magar mujh ko ye zid hai kaisi

    apni tarif mein kuchh us se bhi sunna chahun

    sath dene se hue jate hain qasir alfaz

    jaane kya kya main teri shan mein likhna chahun

    main to ek aisa musafir hun jo thakta hi nahin

    apni manzil se bhi aage koi jada chahun

    dil se baadal kabhi uThte hi nahin hain 'aKHtar'

    kis liye aankhon se bahta hua dariya chahun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now