Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main us daraKHt ka bas aaKHiri hi patta tha

Dwijendra Dwij

main us daraKHt ka bas aaKHiri hi patta tha

Dwijendra Dwij

MORE BYDwijendra Dwij

    maiñ us daraḳht bas āḳhirī patta thā

    jise hamesha havā ke ḳhilāf laḌnā thā

    maiñ zindagī meñ kabhī is qadar na bhaTkā thā

    ki jab zamīr mujhe rasta dikhātā thā

    machine ban to chukā huuñ magar nahīñ bhūlā

    ki mere jism meñ dil bhī kabhī dhaḌaktā thā

    vo bachcha kho gayā duniyā bhiiḌ meñ kab

    hasīn ḳhvāboñ jo titliyāñ pakaḌtā thā

    phir us ke ba.ad parindoñ pe jaane kyā guzrī

    maiñ ek peḌ shāḳhoñ ko kaaT aayā thā

    tamām-umr vo aayā nahīñ zamīñ pe kabhī

    havā meñ us ne jo sikka jo kabhī uchhālā thā

    mirā vajūd bhī shāmil thā us miTTī meñ

    mirā bhī khet fasloñ meñ koī hissa thā

    na jane kitnī surañgeñ nikal ga.iiñ us se

    khaḌā pahāḌ bhī to aañkh dhoka thā

    jo baat baat pe khātā rahā ḳhudā qasam

    qasam ḳhudā vahī aadmī to jhūTā thā

    pata karo ki abhī vo baḌā huā ki nahīñ

    baḌe daraḳht ke nīche jo nanhā paudā thā

    us ek sher pe āñkheñ chamak uThī us

    vo sher jis meñ ki roTī zikr aayā thā

    hamārī zindagī thī ik talāsh paanī

    jahāñ pe ret 'dvij' ek chhantā dariyā thā

    main us daraKHt ka bas aaKHiri hi patta tha

    jise hamesha hawa ke KHilaf laDna tha

    main zindagi mein kabhi is qadar na bhaTka tha

    ki jab zamir mujhe rasta dikhata tha

    machine ban to chuka hun magar nahin bhula

    ki mere jism mein dil bhi kabhi dhaDakta tha

    wo bachcha kho gaya duniya ki bhiD mein kab ka

    hasin KHwabon ki jo titliyan pakaDta tha

    phir us ke baad parindon pe jaane kya guzri

    main ek peD ki shaKHon ko kaT aaya tha

    tamam-umr wo aaya nahin zamin pe kabhi

    hawa mein us ne jo sikka jo kabhi uchhaala tha

    mera wajud bhi shamil tha us ki miTTi mein

    mera bhi khet ki faslon mein koi hissa tha

    na jane kitni surangen nikal gain us se

    khaDa pahaD bhi to aankh ka hi dhoka tha

    jo baat baat pe khata raha KHuda ki qasam

    qasam KHuda ki wahi aadmi to jhuTa tha

    pata karo ki abhi wo baDa hua ki nahin

    baDe daraKHt ke niche jo nanha pauda tha

    us ek sher pe aankhen chamak uThi us ki

    wo sher jis mein ki roTi ka zikr aaya tha

    hamari zindagi thi ek talash pani ki

    jahan pe ret ka 'dwij' ek chhanta dariya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now