Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab

Husain Majrooh

mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab

Husain Majrooh

MORE BYHusain Majrooh

    mar-miTe jab se ham us dushman-e-dīñ par sāhab

    paañv Tikte nahīñ apne zamīñ par sāhab

    ḳhush-gumānī ye aalam hai ki har baat ke biich

    haañ dhoka ho hameñ us nahīñ par sāhab

    taḳht yāroñ ko hai ġham shaah māzūlī

    aur fidā bhī haiñ na.e taḳht-nashīñ par sāhab

    ham to ik sāñvlī sūrat hai jise chāhte haiñ

    aap mar jaa.eñ kisī māh-jabīñ par sāhab

    husn rañgoñ ke tasādum se jilā paatā hai

    jaise ik ḳhaal kisī rū-e-hasīñ par sāhab

    ham vo majrūh-e-ziyārat ki sar-e-mahfil bhī

    aañkh rakhte haiñ usī parda-nashīñ par sāhab

    mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab

    panw Tikte hi nahin apne zamin par sahab

    KHush-gumani ka ye aalam hai ki har baat ke bich

    han ka dhoka ho hamein us ki nahin par sahab

    taKHt yaron ko hai gham shah ki mazuli ka

    aur fida bhi hain nae taKHt-nashin par sahab

    hum to ek sanwli surat hai jise chahte hain

    aap mar jaen kisi mah-jabin par sahab

    husn rangon ke tasadum se jila pata hai

    jaise ek KHal kisi ru-e-hasin par sahab

    hum wo majruh-e-ziyarat ki sar-e-mahfil bhi

    aankh rakhte hain usi parda-nashin par sahab

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 433)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now